Page 1 of 1

Shareek-e-rasm-e-Giryah haiN samundar Aashna AaNkheeN!

Posted: Thu Apr 02, 2009 3:08 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-bazm-e-Urduduniya aadaab-o-tasleemaat!

Qismat se kuch waqt gaoshah-e-khalwat meNguzraa. so jateejata" do teen GhazaleeN maozooN ho gaeeN haiN. jin meN se pehlee Ghazal pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah farma kar mamnoon farmaeeN. deegar bhee tarteeb waar pesh karta rahooN gaa.

Ghazal

Muz^affar AHmad Muz^affar

Shareek-e-rasm-e-Giryah haiN samundar Aashna AaNkheeN!
jahaan-e-Aarzu meN kar nah deeN meHshar bapaa AaNkheeN!


yeh patthar kee nah ho jaaeeN kaheeN aQleem-e-hastee meN
rakheY meHfooz^ Aashaob-e-tamannaa se khudaa AaNkheeN!


tumhaareY wa'dah-e-shab kaa yaqeeN aata naheeN in ko!
raheen-e-fitnah-e-Gham haiN sukooN naa Aashnaa AaNkheeN!


HiSaar-e-dasht-e-weHshat meN bagulooN ke ishaare par
hatheelee par liye phirtee hai muddat se hawaa AaNkheeN!


faSeel-e-shehr-e-taareekee se jaane kab rihaaee ho?
Aseer-e-Qaryah-e-shab haiN miree seemaab paa AaNkheeN!


tumhaaree shaan-e-yaktaaee ka ho gaa dilfareb Aaalam!
wagarnah dekhtee haiN yooN pas-e-manz^ar meN kiyaa AaNkheeN?


Hareem-e-naaz meN teraa nah gar jalwah dikhaaee de!
to behtar hai reh-e-ulfat meN ho jaaeeN fanaa AaNkheeN!


huee muddat nigaahooN ne chowaa thaa marmareeN chehrah!
t^ilism-e-khuwaab se ab tak nah ho paaeeN rihaa AaNkheeN!


:Muz^affar: Zindagee meN farZ^ to ek baar thaa lekin!
t^uwaaf-e-ka'bah-e-dil kar chukee haiN baarhaa AaNkheeN!
[/size][/color]

Re: Shareek-e-rasm-e-Giryah haiN samundar Aashna AaNkheeN!

Posted: Sun Apr 05, 2009 4:02 am
by sbashwar
Mohtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam:

faSeel-e-shehr-e-taareekee se jaane kab rihaaee ho?
Aseer-e-Qaryah-e-shab haiN miree seemaab paa AaNkheeN!

Kya kehne aapki ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. Bohat khoob.
Daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.