Page 1 of 1

مضراب کا شاعرات نمبر :منظوم تاثرات

Posted: Thu Apr 02, 2009 10:22 am
by aabarqi
"Mizraab ka Shairaat Number"
Poetic Compliment:Ahmad Ali Barqi Azmi

"Mizraab ka Shairaat number"
Zarqa ki hai kavishon ka mazhar

Guldastah e fikr o fan hai dilkash
Rashhaat e qalam hain sab ke khushtar

Hain husn e intekhaab ka namunah
Hon nasr nrgaar ya sukhanwar

Hain jinki nigaarishaat jalwah afroz
Hain bahr e sukhan ke laal o gauhar

Urdu ke hain jaan nesaar yeh log
Zarqa hon,Zia baloch ya ki sarwar

Hain Zahida Ra'is Raaji
Me'aar e sukhan mein sab se bartar

Hain sher o adab ke paasdaar jo bhi
Sab unki nazar mein hain baraabar

Manzoor e nazar hai sab ka BARQI
"Mizraab" hai fikr o fan ka paikar


Re: مضراب کا شاعرات نمبر :منظوم تاثرات

Posted: Fri Apr 03, 2009 4:09 am
by Sarwar A. Raz
muHibb-e-mukarram: aadaab!

waah waah! aap kee qaadir-ul-kalaamee kaa to har shaKhS hee qaa,il hai. jab chaahaa jaisee chaahee naz^m keh dee. subHaan-Allah. Mizraab kee qadr-afzaayee ke liYe saraapaa sipaas hooN. us kee roz-afzooN taraqqee aap jaise karam-farmaa,oN ke hee dam se hai. shukriyah.

aap se iltimaas hai keh aap apnee tamaam manz^oomaat meHfooz^ rakkheN aur ba'd meN kitaabee shakl meN chhapwaa deN. yaadgaar cheez ho jaaYe gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: مضراب کا شاعرات نمبر :منظوم تاثرات

Posted: Fri Apr 03, 2009 6:47 am
by aabarqi
سرور کے محاسن کا ھے مظہر مضراب
کہتے ھیں سبھی لوگ یہ پڑہ کرمضراب

اردو کے جراید جو ھیں نٹ پر اب تک
ان سب میں ھے ھرایک سے بھتر مضراب

مخلص
احمد علی برقی اعظمی

Sarwar ke muhasin ka hai mazhar mizraab
Kahte hain sabhi log yeh padh kar mizraab

Urdu ke jaraid jo hain Net par ab tak
Un sab mein hai har ek se behtar mizraab
Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi