Page 1 of 1

Ghazal guZarish....51

Posted: Thu Apr 02, 2009 3:33 pm
by jawaid badauni
Dosto! aadaab

bahut din ba'ad haZiree laga raha hooN. bahut sada magar Gair riwayatee Ghazal le ker HaZir huuwa hooN. Koii sher achcha lage to bataaiyega zaroor.

MuKhliS

Jawaid Badauni

mira apaiGaam ulfat ka zamaney tak nahiN pahuNcha
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

bulandee ki Hawas thee umr bhar baThka fazaaon meN
paranda ek pal ko aashiyane tak nahiN pahuNcha

suna hai nazr.e dahshat ho gaya mazdoor rastey meN
keh woh ghar se tou nikla kaarKhaney tak nahiN pahuNcha

agar mumkin ho tou aisa bhee naSeH dhooNdh kar laao
kabhi jiska qadam ik badakhaaney tak nahiN pahucha

bhikari Khush hai seTh us maal ke gham meN pareeshaN hai
jo baaqee rah gaya uske Khazane tak nahiN pahuNcha

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

bahut sachcha hai Jawaid aur Haq ki baat karta hai
taAjjub hai keh phir bhi qaidKhane tak nahiN pahuNcha
-----------------------------------------------------------------

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Fri Apr 03, 2009 12:05 pm
by yasir shah
assalaamoa'laikum!
muHaram Jawaid SaaHib!

aap ko a'rSay ba'd yahaaN daiKh kar khushee huwee -ummeed hay keh khairiyat se hoN gay-

miraa paiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

bahut khoob !

du'aakhwaah
yasir

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Fri Apr 03, 2009 5:36 pm
by jawaid badauni
yasir shah wrote:assalaamoa'laikum!
muHaram Jawaid SaaHib!

aap ko a'rSay ba'd yahaaN daiKh kar khushee huwee -ummeed hay keh khairiyat se hoN gay-

miraa paiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

bahut khoob !

du'aakhwaah
yasir
Azeezi Yasir Shah SaaHab, WAAS

bahut din ba'ad aap ne yaad farmaya bahut Khushee huwee. Ghazal ki pazeeraayee ke liye mamnoon hooN.

MuKhliS

Jawaid Badauni

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 3:46 am
by aabarqi
Qalam Jawaid ka aaloodgi se paak hai BARQI
Ta'ajjub hai payam unka zamaney tak nahin pahuncha

Numaayaan is ghazal se hai sha'oor e fikr o fan unka
Jabhi unka sukhan filmi taraney tak nahin pahuncha

Khaksaar
Ahmad Ali Barqi Azmi

http://aabarqi.webs.com
http://draabarqi.tripod.com
http://aabarqi.blogspot.com

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 4:42 am
by jawaid badauni
aabarqi wrote:
Qalam Jawaid ka aaloodgi se paak hai BARQI
Ta'ajjub hai payam unka zamaney tak nahin pahuncha

Numaayaan is ghazal se hai sha'oor e fikr o fan unka
Jabhi unka sukhan filmi taraney tak nahin pahuncha

Khaksaar
Ahmad Ali Barqi Azmi

http://aabarqi.webs.com
http://draabarqi.tripod.com
http://aabarqi.blogspot.com
MoHtarmee Ahmad Ali Barqi Saahab
aadaab

aap ki manzoom daad dilchusp bhee hoti hai aur is se meri bahut himmat afzaaii bhee hotee hai. bahut bahut shukriya.

Nacheez,
Jawaid Badauni

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 7:28 am
by sbashwar
Mohtaram Javed Badauni Saheb
:salaam:

Kafi arse baad ek achchi ghazal ke saath aapki amad par khushi hui.

mira apaiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha ----> zamaney ka 'n' typing ke nazr hogaya hai.
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

Bohat khoob.

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

Aapka ye sheir bohat khoob hai.

Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 2:33 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram jawaid Badauni SaaHib aadaab! :-)

Aek muddat bad aap ko meHfil meN dekh kar bohot khushee huee. khuda kare ke aap ab baaqaa'dagee se tashreef late raheeN taa yeh meHfil tar-o-taazah rahe. aor ham t^alibaan-e-i'lm aap kee takhleeqee SalaHiyatooN se Hasb-e-taofeeq seekhte raheeN.

Aap kee Ghazal naz^ar nawaaz huee. jo keh aap ke makhSooS andaaz meN hai. Zamaane ke ghambeer masaae'il aor siyaasee kashmakash kee GhammaaZ yeh Ghazal dilchasp hai. baa Z^ameer shaae'ir ke dil kee aawaaz she'er meN Dhal kar do aatishah ho gaee hai. majmua'ee t^aor par is kalam par jitnee bhe daad dee jae so kam hai. maqSadiyat se bharpoor aor a'Sree siyaasee aor mua'asharatee naahamwaariyooN ka aae'nah liye yeh Ghazal laai'q-e-Sad daad-o-taoSeef hai. so meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad qubool keejiye.

mira apaiGaam ulfat ka zamaney tak nahiN pahuNcha
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

Bohot khoob Waah Waah! =D>

bulandee ki Hawas thee umr bhar baThka fazaaon meN
paranda ek pal ko aashiyane tak nahiN pahuNcha

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

suna hai nazr.e dahshat ho gaya mazdoor rastey meN
keh woh ghar se tou nikla kaarKhaney tak nahiN pahuNcha

Bohot khoob Kiya baat hai Waah Waah Waah Waah lajawaab she'er hai Waah! =D>

agar mumkin ho tou aisa bhee naSeH dhooNdh kar laao
kabhi jiska qadam ik badakhaaney tak nahiN pahucha

Waah!

bhikari Khush hai seTh us maal ke gham meN pareeshaN hai
jo baaqee rah gaya uske Khazane tak nahiN pahuNcha

Waah!

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

Waah Waah!

bahut sachcha hai Jawaid aur Haq ki baat karta hai
taAjjub hai keh phir bhi qaidKhane tak nahiN pahuNcha

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

Muzaffar AHmad Muzaffar
-----------------------------------------------------------------

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 7:26 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Javed Badauni Saheb
:salaam:

Kafi arse baad ek achchi ghazal ke saath aapki amad par khushi hui.

mira apaiGaam ulfat ka zamaey tak nahiN pahuNcha ----> zamaney ka 'n' typing ke nazr hogaya hai.
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

Bohat khoob.

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

Aapka ye sheir bohat khoob hai.

Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar
moHtarmee Salem Bashwar Saahab
tasleemaat

Ghazal ki pazeeraayee ke liye shukriya. Pahle safar.e Hind aur phir Taweel ilaalat ke sabab is baar Gair Haziree ziyadah rahee. Inshah Allah jab bhi mauqa milega Hazir hota rahooNga. Nazir Saahab ka kya Haal hai, likhiyega. Unse mera Salam bhi kah deejiyega.

MuKhliS

Jawaid

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Sat Apr 04, 2009 7:33 pm
by jawaid badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram jawaid Badauni SaaHib aadaab! :-)

Aek muddat bad aap ko meHfil meN dekh kar bohot khushee huee. khuda kare ke aap ab baaqaa'dagee se tashreef late raheeN taa yeh meHfil tar-o-taazah rahe. aor ham t^alibaan-e-i'lm aap kee takhleeqee SalaHiyatooN se Hasb-e-taofeeq seekhte raheeN.

Aap kee Ghazal naz^ar nawaaz huee. jo keh aap ke makhSooS andaaz meN hai. Zamaane ke ghambeer masaae'il aor siyaasee kashmakash kee GhammaaZ yeh Ghazal dilchasp hai. baa Z^ameer shaae'ir ke dil kee aawaaz she'er meN Dhal kar do aatishah ho gaee hai. majmua'ee t^aor par is kalam par jitnee bhe daad dee jae so kam hai. maqSadiyat se bharpoor aor a'Sree siyaasee aor mua'asharatee naahamwaariyooN ka aae'nah liye yeh Ghazal laai'q-e-Sad daad-o-taoSeef hai. so meree jaanib se is khubSurat kalam par dilee daad qubool keejiye.

mira apaiGaam ulfat ka zamaney tak nahiN pahuNcha
zubaN se teer tou nikla nishaney tak nahiN pahuNcha

Bohot khoob Waah Waah! =D>

bulandee ki Hawas thee umr bhar baThka fazaaon meN
paranda ek pal ko aashiyane tak nahiN pahuNcha

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

suna hai nazr.e dahshat ho gaya mazdoor rastey meN
keh woh ghar se tou nikla kaarKhaney tak nahiN pahuNcha

Bohot khoob Kiya baat hai Waah Waah Waah Waah lajawaab she'er hai Waah! =D>

agar mumkin ho tou aisa bhee naSeH dhooNdh kar laao
kabhi jiska qadam ik badakhaaney tak nahiN pahucha

Waah!

bhikari Khush hai seTh us maal ke gham meN pareeshaN hai
jo baaqee rah gaya uske Khazane tak nahiN pahuNcha

Waah!

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

Waah Waah!

bahut sachcha hai Jawaid aur Haq ki baat karta hai
taAjjub hai keh phir bhi qaidKhane tak nahiN pahuNcha

Kiya baat hai Waah Waah! =D>

Muzaffar AHmad Muzaffar
-----------------------------------------------------------------

moHibbee Muzaffar Saahab,
aadaab

mujhe Khud Taweel muddat ke baa'd aap ka Khat paRh kar bahut Khushee huuwee. maiN ne suna tha nayee mulazmat meN aap bhi KhaSe maSroof rahne lage haiN. maiN salana ruKhSat per Hinsustan gaya tha. aisa beemar paRa kaii Hafte se "anti biotic' kha raha hooN. kal achanak Khyaal aaya Ghazal kahe zamana ho gaya hai tub hi aap ke miSre per nazar paRee so kuch sher ho gaye. bahut sada Ghazal hai magar mujhe Khud Hairat hai kaii sites per chahne waloN ne iski bharopur pazeeraayee ki hai.

waqt badal gaya hai ab shairee ka mizaj bhi badal gaya hai. ab mazameen bhi badalna hi hoNge. maiN janta hooN buzurg HaZraat is qism ki shairee ko shairee hi nahiN tasleem karte magar mujhe ab aise sher kah ker hi taskeem miltee hai. insan ko sub se pahle apne dil ki sun na chaahiye.

Himmat afzaii ke liyee ap ka beHud mamnoon hooN. aaindah bhi jab jab mauqa milega HaZiree lagata rahooNga.

Khush raheN!

KhulooSkar,

Jawaid Badauni

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Mon Apr 06, 2009 1:05 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
jawaid bhaaii saahib

hum bhi ek taweel arse baad is mehfil meiN aaye haiN.kya kareN hamaari masroofiyaat hi kuch aisee haiN keh chaahkar bhi hum net keliye waqt nikaal nahiN paa rahe haiN.

is zindagi meiN koyee shaye khaalis aur abadee nahiN hai....khushee ke saath gham,ameeri ke saath ghareebi,sehatmandee ke saath beemaareee.....yahi zindagi hai.apna khayaal rakkha kareN.allah(sbhnwt) aapko sehato tandarusti bakhshe.ilaahi aameen

maahay rawaaN ke micre per aapka kalaam hameN bahut accha laga.

khaaskar yeh do sher...

woh muflis hai magar meyaar-e fun ka paas hai usko
kabhi uska qalam filmoN ke gane tak nahin pahooncha

bahut sachcha hai Jawaid aur Haq ki baat karta hai
taAjjub hai keh phir bhi qaidKhane tak nahiN pahuNcha

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN is dilkash ghazal per.

aapka apna
haamid baaqari
-----------------------------------------------------------------

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Mon Apr 06, 2009 3:31 pm
by jawaid badauni
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum

a'zeezi Haamid Baaqri Saahab,aadaab

"muddat ke baa'd aapko dekha Khushee huuwee". maiN tou yeh ummid choR chuka tha keh aap se net per mulaaqaat hoge. Bhaii kabhi kabhi aate rehiye. Is daur meN achche aur sachche log kum hi milte haiN. hum aap ko khona nahiN chaahte haiN.

Ghazal ki pazeeraayee ke liye bahut abhut shukriya.

MuKhliS
Jawaid

Re: Ghazal guZarish....51

Posted: Mon Apr 20, 2009 11:13 pm
by haamidbaaqri
a'zeezi Haamid Baaqri Saahab,aadaab
Assalaam o alaikum
jawaid bhaaii saahib

"muddat ke baa'd aapko dekha Khushee huuwee"

JEE ...HAMEn BHI bahut khushee huee.

maiN tou yeh ummid choR chuka tha keh aap se net per mulaaqaat hoge. Bhaii kabhi kabhi aate rehiye.

jawaid bhaaii saahib ...kya kareN.......hamaara kaam hi kuch aisa hai keh hameN ziyaadahtar safar meiN hi rehna padhta hai.jab ghar laut'te haiN tau itne thak jaate haiN keh bas.......insha allah aaindah baaqaaydge ke saath net pe aane ki kaushish karenge.

Is daur meN achche aur sachche log kum hi milte haiN. hum aap ko khona nahiN chaahte haiN.

yeh aapka husne zan hai keh aap aisa sauchte haiN...allah(sbhnwt)hameN waisa banade jaisa keh aap hamaare baare meiN sauchte haiN.

Ghazal ki pazeeraayee ke liye bahut abhut shukriya.

nawaazish karam mehrbaani ..

aapka apna
haamid baaqari