Page 1 of 1

Topi,Daraama

Posted: Fri Apr 03, 2009 3:23 am
by dil ki majbori
Topi hamaari tehzeeb o saqafat ka aik ahm hissa he aur pakistani qoum ki nazar maiN tu Topi is qadar qabil e ahteraam he ke wo har sarkaari o nijji dafaatir maiN qaid e azam ki Topi waali tasveer aawezaaN karna apna farz samajhti he,sab se pehle Topi kis ne banaaii ye tu muje nhi maaloom leken gumaan ghalib he ke jab se insaan he tab se Topi he,,mughal baadsha aurungzeb aalimgeer tu TopiyaaN see ker apna peT bharte the ab khuda he jaane ke ye haqeeqat he ya koi "Topi" he keyuN ke hamaari ziaada tar taareekh baadshahoN ke kehne per likkhi gaii he aur is maiN Topi,baazoN ka baRa ahm kirdaar raha he is liye jab hum gher janib,daari se taareekh paRhte haiN tu humaiN is maiN kaii jaga "Topi" nazar aati he.qiaam e pakistan se ab tak hamaare mulk maiN kisi aur sun,at ne taraqqi ki ho ya nahi leken Topi ki sun,at ne itni taraqqi ki he ke siasat,daan,molvi,tajir,police,shaair,sahaafiyuN samet har shuba haai zindagi ke afraad Topi karne,Topi karaane,Topi dene,aur Topi pehnaane maiN masroof haiN.jhooT,waada,khilaafi,naaptol maiN kami rope pesoN ki hera pehri gharaz ye ke aap muaashire ki har buraaii ko lambe choRe alfaaz maiN biaan karne ke bajaai serf 5 alfaaz " maiN ne Topi pehnaa dee" se ujagar kar sakte haiN aur ise hi derya ko kooze maiN band karna kehte haiN.Topi do tara ki hoti haiN aik chupi hoii yaani sulemaani Topi jo nazar nahi aati aur jise hamaare siasat,daan nisf sadi se awam ko pehna rahe haiN,doosri Topi zaahiri hoti he jo masajid maiN janaaze maiN ,feshon ke tor par aur ganj chupaane ke liye pehni jaati he.Topi sharafat ki alaamat he isi liye hamaare molvi hazraat Topi pehn kar itni sharafat se awam ko Topi pehnaate haiN ke saada loh awam chande ke naam per jebeN khaali karne ko ain sahadat samajh kar muft ka sawaab hasil karte haiN,Topi sharafat ke sath sath taqat ka bhi mazher hoti he aik khaaki Topi tamaam reaaya par tasallut jama leti he safed Topi ka aik supaaii hath ke ishaare se hazaroN chalti hoii gaariyuN ko rok deta he aur kaali Topi wali sarkaar ka tu kia kehne ke jise chaahe "andar" kar ke bande da puttar bana deN nine eleven ke baad tu kaali Topi wale safed Topi waloN par shehd ki makkhiyuN ki tara bhinbhina rahe haiN aur is black and white jung maiN amrica bahaadur bhi saat samandar paar se aa kar bila shirkat e gher shareek he .suba sindh maiN tu Topi pehnaana yahaaN ki revayat maiN shamil he jab bhi aala hukkam sindh ka dora karte haiN tu ine ajrak ke sath sindhi Topi bhi pehnaaii jati he ye Topi itni zood e asar hoti he ke ise pehnte hi aala hukkam taqdeer badalne ka daawa kar ke ghareeb awam ko Topi pehnaana shoro kar dete haiN .Topi pehnne ke mukhtalif istyle hote haiN baaz afraad seedhi aur baaz thirchi Topi pehnte haiN jab ke burger tabqa apne har ulTe feshon ki tara Topi bhi ulTi pehnta he .feshon,aibal khuateen Topi wale nojawanoN ko laila ki nazar se dekhti haiN leken khuaateen ki aksiryat Topi se door rehti he yaani Topi nhi pehnti magar is ke baawajood khareedaari susraal maiN saas se laRte aur raat ko shohar ke kaan bharte waqt mutadid khuaateen Topi zaroor pehnaati haiN.sardiyuN maiN Topi ki demand baRh jati he vip shoping center se le kar lunda bazaaroN tak maiN TopiyaaN hi TopiyaaN nazar aati haiN aur shehriyuN ki baRi taadaad dukandaaroN se TopiyaaN kar ke aur dukaandaar shehriyuN ko Topi pehna kar TopiyuN ki khareed o farokht maiN masroof nazar aate haiN ,Topi agar sakht ho tu is se shadeed jani nuqsan ka aihtemaal rehta he yaani agar aap ne kisi ko waqt de kar use Topi kara di tu us ka dil TooT bhi sakta he ,dimaagh phir bhi sakta he yaani aik Topi 100 masaail khaRe kar sakti he .TopiyuN ka size mukhtalif hota he sardiyuN maiN baRi topiyaaN pasand ki jati haiN jinhe pehn kar kaan bajna band ho jate haiN jab ke garmiyuN maiN choTi TopiyuN se bhi kaam chal jata he daraiver hazraat ko tu Topi se itni mohabbat hoti he ke wo aik doosre ka naam hi "Topi ustad" rakh dete haiN,isi tara baaz afraad ko Topi se itna ishq hota he ke wo ise heer samajh kar hamesha ke liye apne sar ki zeenat bana lete haiN ye khaasul,khaas afraad hote haiN agar aap ko yaqeen na aai tu kisi aise shakhs ke sar se Topi utaar kar dekheN aap ko nawaz shareef ki tara ye khasiat airport ke runway ki soorat maiN nazar aai gi .Topi khatarnaak bhi hoti he yaani Topi ki zara si laghzish wo Darama khaRa kar deti he ke Topi,baaz ise "Topi Darama" bata kar apni khiffat miTane ki nakaam koshish kerte haiN.teesri dunia ke shehzaade Topi ke baRe shaaiq hote haiN aur aai din naii naii TopiyaaN pehn kar kabhi sharukh tu kabhi reema ban jate haiN aur apni adaaoN se dil,phenk aashiqoN ke dil par churyaaN chalaate rehte haiN.Topi har gher ki zaroorat he is liye hamaare mulk maiN shayad hi koi gher ho jis maiN Topi na ho keyuN ke Alhamdulillah hum musalmaan haiN aur Topi pehn kar hi ibadat karte haiN .aap "Topi Topi" paRh kar bore hoye hoN ke nhi leken maiN "Topi Topi" likh ker zaroor ukta gia hooN aur is shart per aap se ijazat chahta hooN ke aap aaj se apne liye aur sab se baRh kar apne mulk ke liye "Topi pehnaana" choR deN ge

(faiz e alam babar

Re: Topi,Daraama

Posted: Sun Jan 31, 2010 3:28 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Faiz-e-Alam Babar Saheb........ Masha'Allah aapne bohat hi achcha "Topi" pehnaaya... :grin: mera matlab hai "Topi" pe apna inshaiyah humse "share" kiya... Ek baat bataayein kya aap bee "Topi" pahente hain?

Der se aane ke liye maa'zerat chaahta hoon.

Alla'h kare zor-e-qalam aur ziyaadah.

munir armaan