Page 1 of 1

A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Fri Apr 03, 2009 12:50 pm
by aabarqi
A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal :Ahmad Ali Barqi Azmi

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Sat Apr 04, 2009 1:48 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Dr, A'li AHmad Barqi Azmi SaaHib tasleemaat!

A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye aap kee t^arHee Ghazal dekhee jo nah Sirf mushaae'irah kee shaan baRhaae huwe hai. balkeh fikr-o-fan ke aatebaar se bhee martabah-e-kamaal par hai. kalam meN aek khaaS tawazun-o-tanaasub hai. jo qaaree ke dil-o-dimaaGh ko she'er meN pinhaaN ma'nee kee jaanib le jaata hai. maoZ^oo'-o-she'eriyat ke maaba'aen aek makhSooS jaazbiyat hai. jo qaabil-e-daad hai. girah kaa she'er nihayat dilkash hai. majmuee t^aor par kalam saadagee meN purkaaree kee umdah micaal liye huwe hai. har she'er dil ko chu raha hai. jis ke liye meree jaanib se khaaS t^aor par daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Mushae'irah meN aapkee shirkat ke liye teh-e-dil se mamnoon hooN. ummeed hai. keh yeh ta'awun aor murawwat kaa rishtah qaai'm-o-daai'm rahe gaa. inshAllah!

Muzaffar AHmad Muzaffar

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Sat Apr 04, 2009 4:17 pm
by sbashwar
Mohtaram Dr Ahmad Ali Barqi Azmi Saheb
:salaam:

Mera zauq-e-tajasus dekhiye kya gul khilata hai
abhi khoney ki manzil mein houn paney tak nahin pahouncha

Bohat hi umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Sun Apr 05, 2009 4:34 pm
by jawaid badauni
aabarqi wrote:A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal :Ahmad Ali Barqi Azmi




yeh aisa dard hai Barqi jo hum donoN men yaksaaN hai
tumhara teer bhee apne nishaney tak nahiN pahuNcha
arey kya baat kah dee dil ko mere chhuu gayee SaaHab
"abhee khone ki manzil meN hooN pane tak nahiN pahuncha"


Jawaid Badauni

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Sun Apr 05, 2009 6:33 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Dr. Ahmad Ali Barqi Sb

salaam a'laikum

ek khoobSurat or dil pazeer Ghazal par daad pesh khidmat hai. is Ghazal ke asha'aar dil se nikle haiN or dil tak pahuNche haiN. Ghazal meiN Husn-o-rawaanee bharpoor hai. her she'r qaabile daad hai.

Mera zauq-e-tajasus dekhiye kya gul khilata hai
abhi khoney ki manzil mein houn paney tak nahin pahouncha

mundarjah balaa she'r bahut achhaa hai Dr. Sb (abhee khone kee manzil meiN hooN paane tah naheeN pahuNchaa) kiyaa baat hai bahi kiyaa baat hai, har muHabbat karne waalaa yaheeN khaRaa hai.

DheroN daad qubool farmaae,N.

t^aalib-e-dua'aa

Khurshidul Hasan Naiyer

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Mon Apr 06, 2009 1:14 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
mohtram ahmed ali barqi aazmi sahib

maahay rawaaN ke micre per aapki yeh dilkash ghazal hamare dilko choogayee hai.

bahut accha kalaam hai aapka

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeN

mukhlis

haamid baaqari

Re: A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye Tarhi Ghazal

Posted: Tue Apr 14, 2009 3:19 pm
by aabarqi
Aap sab hazraat ke husn e nazar ka shukriya
Tabseron se aapke badhta hai mera hausalah

Yun hai main likhta rahoonga padhte rahiye shauq se
Aur de sakta hoon kya main aapko iska sila

Khaaksaar
Ahmad Ali Barqi Azmi