Page 1 of 1

غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے

Posted: Sun Apr 05, 2009 11:15 am
by aabarqi

غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے


Ghazal:Mizaj e Yaar Barham Ho Na Jaye
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Tawajjuh aapki kam ho na jaye
Mizaj e yaar barham ho na jaye

Jo hai shama e shabistan e mohabbat
Kahin lau uski maddham ho na jaye

Junoon e shauq mein mujhko yeh dar hai
Khushi mein zam kahin gham ho na jaye

Neshat o kaif o sarmasti ka saamaan
Achanak bais e gham ho na jaye

Nasheman barq ki zad mein hai mera
Kahin yeh faslah kam ho na jaye

Khamidah pusht hai baar e geraan se
Kahin yeh aur bhi kham ho na jaye

Chalo Ahmad Ali Barqi yahaan se
Kahin duniya jahannum ho na jaye

غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے

Re: غزل :مزاج یاربرھم ھو نہ جائے

Posted: Thu Apr 09, 2009 10:56 am
by NASIR BURNEY
mohtaram barqi sb. asslamualaikum
barhi murassa ghazal se nawaza hai aap ne daad-o-tehseen qubool farmaiye ek sher ki shakl mein

barqi tere sher bhi kya hein?
tukrhe tukrhe aaiene hein

برقی تیرے شعر بھی کیا ہیں؟
ٹکڑے ٹکڑے آءینے ہیں

mukhlis
nasir burney