Page 1 of 1

is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Thu Apr 09, 2009 10:36 am
by NASIR BURNEY
asslamualaikum

ek ghazal post ker raha hoon agar kisi layeq ho to duaaon se nawaz deejiyega

baad-e-nishaat shahr mein aathon pehar chale
aisa na ho saka to kya koshish to ker chale

khush rang ho to kese ye tasweer-e-zindagi
qismat idhar chale to mera dil udhar chale

maqsood dekhnaa tha magar choo liya use
kya kaam kerne aaye the kya kaam ker chale

hum ne parakh liya hai tere iltifaat ko
mehfil se teri uth ke hum aashufta ser chale

atkheliyan gulon se to ghunchon se cherh chaarh
choo ker mizaj-e-husn naseem-e-sehar chale

phir bhee qadam uthana bhut dekh bhaal ke
hum yoon to saare raaste humwaar ker chale

khush aamdeed keh rahe hain baam-o-der tumhen
is mosam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

mukhlis
nasir burney

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Fri Apr 10, 2009 3:39 am
by sbashwar
Mohtaram Nasir Burney Saheb
:salaam2:

hum ne parakh liya hai tere iltifaat ko
mehfil se teri uth ke hum aashufta ser chale

Bohat umda ghazal hai. Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Fri Apr 10, 2009 3:44 am
by yasir shah
muHtaram Nasir barnee SaaHib !
assalaamoa'laikum

aap ki ghazal khoob hay -
baad-e-nishaat shahr mein aathon pehar chale
aisa na ho saka to kya koshish to ker chale

hum ne parakh liya hai tere iltifaat ko
mehfil se teri uth ke hum aashufta ser chale

atkheliyan gulon se to ghunchon se cherh chaarh
choo ker mizaj-e-husn naseem-e-sehar chale

phir bhee qadam uthana bhut dekh bhaal ke
hum yoon to saare raaste humwaar ker chale

khush aamdeed keh rahe hain baam-o-der tumhen
is mosam-e-bahaar mein nasir kidhar chale
yeh ash'aar aur mat'la' bilkhuSooS pasand aayaa - daad qubool keejiye aur mujhay bhee apnee du'aaoN maiN yaad raKhiye gaa-

yasir

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Sat Apr 11, 2009 4:38 pm
by NASIR BURNEY
mohtaram sbashwar sahib
wa alaikum asslam wa rahmatullahi wa barakatuhu
bhut 2 shukriya daad-o-tehseen se nawazne ke liye

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Sat Apr 11, 2009 4:39 pm
by NASIR BURNEY
mohtaram shah sahib
wa alaikum asslam wa rahmatullahi wa barakatuhu
bhut 2 shukriya daad-o-tehseen se nawazne ke liye

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Wed Jun 03, 2009 5:02 am
by aabarqi
Nasir ki yeh ghazal hai dil angez o dilnawaaz
Jis mein neyaaz o naaz bhi hai aur soz osaaz

Kaif o neshaat se bhi hai sarshaar yeh ghazal
Hasil jahaan e sher mein hai jisko imteyaaz

Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi
http://aabarqi.webs.com
http://draabarqi.tripod.com
http://aabarqi.blogspot.com

Re: is mousam-e-bahaar mein nasir kidhar chale

Posted: Sat Jun 06, 2009 10:22 am
by munir-armaan-nasimi
maqsood dekhnaa tha magar choo liya use
kya kaam kerne aaye the kya kaam ker chale

waah waah.. kya baat hai Nasir Burney Saaheb. MAsha'Allah puri ghazal rang-e-taghazzul se maalaamaal hai.

Daad pesh-e-khidmat hai, qobool karein.