Page 1 of 1

Meri taza tareen Ghazal...............

Posted: Thu Apr 09, 2009 9:48 pm
by jawaid badauni
Dosto! adab

Hafte ka Ikhtetaam tha, neeNd nahiN aa rahee the. so kuch sher kah liye haiN. Ghazal itni taza hai keh abhi nazar-e Saanee bhi nahiN kar saka hooN. aap ki aara ka muntazir hooN.

Apka apna,

Jawaid Badauni
---------------------------------------------------


Ai Khuda jurAt-e bayaN de dey
BezubaaN hooN mujhe zubaaN de dey

Raah-e manzil ka jo nishaN de dey
Aisa ik meer-e kaarwaaN de dey

Jeans bahnoN ki ab nah dekhi jaaye
Ai Khuda unko saRiyaN dedey

Mujh se ai dost le ley goyayii
Mujhko apni KhamoshiyaN dedey

Aaj beToN ka baap kahta hai
Ab tou MaAbood beTiyaN dedey

Woh jo laashoN pe chalte haiN Ya Rub!
Aise paroN ko beRiyaaN de dey

Shauq se kahna phir mujhe Gaddar
Pahle apne waTan pe jaaN de dey

Phir Khushee hi khushee hai ai Jawaid
Bus dua tujh ko teri maaN de dey

Re: Meri taza tareen Ghazal...............

Posted: Fri Apr 10, 2009 3:24 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Ai Khuda jurAt-e bayaN de dey
BezubaaN hooN mujhe zubaaN de dey

Aapki ye ghazal par wah wah ya bohat khoob ke bajai ameen kehna chahye.Har sher dil ko cho liya.
:jazax:

Re: Meri taza tareen Ghazal...............

Posted: Fri Apr 10, 2009 5:29 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

Ai Khuda jurAt-e bayaN de dey
BezubaaN hooN mujhe zubaaN de dey

Aapki ye ghazal par wah wah ya bohat khoob ke bajai ameen kehna chahye.Har sher dil ko cho liya.
:jazax:

BeHud mamnoon hooN Salem Bashwar SaaHab.

Khush raheN!

MuKhliS, Jawaid