Page 1 of 2
Khushaamadeed
Posted: Sat Dec 11, 2004 10:38 pm
by Abdullah Nazir
Assalam-o-alaikum!
Dosto aap sabko Urdubandhan.com par
[align=center][/align]
ye forum aap sabke liye banayaa gaya hai ummeed hai ke aap isko usi tarah sajayenge jaise apne ghar ko sajaye rakhte hain jahan aap apne baRon kaa khayaal rakhte heiN aur choutaon ki rehnumayii bhi aur sabki bhalaayi bhi chaahte heiN.
Tou aaiye ye kuch baatein hain jo hum zehn nasheen karlete hain aur apne is forum ko sajaane ka aghaaz karte hain.
1. aapki post jis section mein post kar rahe hain is baat ka khayaal rakhiye ke voh us section se munasibat rakhti ho. Ghair shaista post jo ur'yaniyet, ishtihaar, dilazaari, aur shakhsi tanqeed per mushtamil ho tou voh bina kisi saabiq ittilaaA ke miTaadi jayegi.
2. aapas mein kisi mauzooA per baat karni ho, yaa beHc karni hou tou wo PM ke zariye ya email ke waasTe se ki jasakti hai.
3. izhaar'e khayaal mucbat hou yaa manfi, kisi bhi kalaam per jayez hai, lekin likhari kii shakhsiyat per nahiN.
4. Raast shakhsi tanqeed bardaasht nahiN kii jayegii.
5. apne avtar ki size forum k usool ke lehaz he 80/80 honi chaahiye, signature bhi size 400/40.
6. Flooding bardaash nahi ki jayegi, maca'lan
----------a. Duplicate/Multiple postings
----------b. Repeated posts from the same member.
----------c. Meaningless Posts jo waqt guzaari ke liye ki jaaye jis per koi jawab nahi aata hai.
7. Capital letters ka istemal ehtiyat se keejiye, kyunki ALL CAPS will be considered yelling & rudeness.
8. Saalgirah aur aham mauqaon per aek thread hi kholi jaaye jahan sab shaamil hoker post karen.
9. Apni baat ko khule lafzon mein doosre tak pahunchane ki koushih keejiye taake doosra ghalatfehmi ka shikar na houjaaye.
10. Baaqi aap sab zimmedar log hain agar kisii baat kaa zikr yehan ghair iraadi Taur per nah housaka tou aap khhud khayaal rakhiye.
aap se ye bhi darkhast hai ke is forum meN apna mukhtiCuran ye tafseelan t'aaruf zaroor karwaa-iaye. is t'aaruf ke leeaye aik nayee laRi shroo kijiaye aor us meN apnay urdu adab se ta'aluq aor apni adbi sargarmeeyoN ka zikr ki jiaye. taa ke ahl e bazm aap ko jaan sakeN.
Shukriya.
Posted: Sun Dec 12, 2004 7:34 am
by Hashmat Usmani
moHtaram janaab e Naazir saahiba aur moHtaramah Saata saaHibaa,
salaam o tasleemat
sab se pahle to ek 'aalaa aur 'urfa taKhti-e-paiGhaamaat hameN 'ataa farmaane kaa teh-e-dil se shukria. aapkii urdu se moHabbat ka yeh ek bahtareen shaah_kaar hai. Allah ise din doonii aur raat chau-gunii taraqqi 'ataa farmaaye aur iskii irteqaa~ misaalii ho...aameen!
ham apne tayiiN yehi koshish kareNge ki Khoob baRh chaRh kar Hissa leN aur iskii falaaH aur beh_boodii ke mo'aavin saabit hoN. aur meri iltijaa~ hai tamaam_tar aHbaab e meHfil se kii vo bhi is nek kaam ke karne meN koiii kasar na uThaa rakkheN...Khusoosan Khawaateen se, kiuNki:
himmat e aurtaaN, madad e Khuda :)
Re: Khushaamadeed
Posted: Sun Dec 12, 2004 8:51 am
by Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
Assalam-o-alaikum!
Dosto aap sabko Urdubandhan.com per khushamded.
ye forum aap sabke liye banayaa gaya hai ummeed hai ke aap isko usi tarah sajayenge jaise apne ghar ko sajaye rakhte hain jahan aap apne baRon kaa khayaal rakhte heiN aur choutaon ki rehnumayii bhi aur sabki bhalaayi bhi chaahte heiN.
Tou aaiye ye kuch baatein hain jo hum zehn nasheen karlete hain aur apne is forum ko sajaane ka aghaaz karte hain.
1. aapki post jis section mein post kar rahe hain is baat ka khayaal rakhiye ke voh us section se munasibat rakhti ho. Ghair shaista post jo ur'yaniyet, ishtihaar, dilazaari, aur shakhsi tanqeed per mushtamil ho tou voh bina kisi saabiq ittilaaA ke miTaadi jayegi.
2. aapas mein kisi mauzooA per baat karni ho, yaa beHc karni hou tou wo PM ke zariye ya email ke waasTe se ki jasakti hai.
3. izhaar'e khayaal mucbat hou yaa manfi, kisi bhi kalaam per jayez hai, lekin likhari kii shakhsiyat per nahiN.
4. Raast shakhsi tanqeed bardaasht nahiN kii jayegii.
5. apne avtar ki size forum k usool ke lehaz he 80/80 honi chaahiye, signature bhi size 400/40.
6. Flooding bardaash nahi ki jayegi, maca'lan
a. Duplicate/Multiple postings
b. Repeated posts from the same member.
c. Meaningless Posts jo waqt guzaari ke liye ki jaaye jis per koi jawab nahi aata hai.
7. Capital letters ka istemal ehtiyat se keejiye, kyunki ALL CAPS will be considered yelling & rudeness.
8. Saalgirah aur aham mauqaon per aek thread hi kholi jaaye jahan sab shaamil hoker post karen.
9. Apni baat ko khule lafzon mein doosre tak pahunchane ki koushih keejiye taake doosra ghalatfehmi ka shikar na houjaaye.
10. Baaqi aap sab zimmedar log hain agar kisii baat kaa zikr yehan ghair iraadi Taur per nah housaka tou aap khhud khayaal rakhiye.
Shukriya.
Bhai Abdullah Nazir sahib salaam e masnoon
Abhi sara jabeen ki ittela par urdu bandhan ka ilm huva aur behad acha laga. Allah kare ye site khoob taraqqi karay.
shukria
Mahtab Qadr
Posted: Sun Dec 12, 2004 1:04 pm
by Star Mind
Assalam-o-a'laikum,
MoHtarami A.Nazir SaaHib, mujhey yeh dekh kar beHad khushi hoi k ab Urdu k chaahne waaley dunyaa ka chappe chappe par gaisoo-e-urdu ko saNwaarne lage haiN. aap ka jazba, aap ki khidmaat , aap ka khulooS yaqeena" yeh sab mil kar Urdu ko ik nayee zindagee a'taa karsakte haiN. Mujhey umeed hai k yeh forum Tishnagaan-e-Urdu keleye yeh aab-e-Hayaat ka kaam deygaa :D . Mujh Haqeer se jo kuch ho sakegaa , maiN Haazir hoN :D . aap ko bahut bahut mubaarak ho. Shukriya
MokhliS : Zia Baloch
Posted: Sun Dec 12, 2004 2:35 pm
by rahmed25682
Mohtaram Abdullah Nazir sahab
Assalam-o-Alaikum..
Umeed hay mizaaj ba-khair hongay.... :)
URDU kee khidmat aur taskeen-e-zauq ka jazba lay kar is forum kay qayaam per aap ko Dil kee gahraayoN say Mubarak-baad paish karta hooN aur Duaa-Go hooN kay ALLAH is ko din Dugny aur raat Chugny Taraqqi ataa farmaye..
Inshallah hum sub mil kar is forum ko shaad-o-aabaad rakhain gay.
Khush Rahain :) :)
Khair Andesh
Raheel Ahmed
Posted: Sun Dec 12, 2004 4:14 pm
by sbashwar
Janab Abdullah Nazir Sahib
Asslam Alaikom.
Bohat Bohat Mubarak. Insha-allah, eh site bohat phole phalega.
Salem Bashwar
Posted: Fri Dec 17, 2004 6:10 am
by riaz ahmed saraa
MoHtaram Abdullah Nazir SaHib aur Sara JabeeN SaHiba
aadaab
is khoosurat forum ke shuru karne par meiN aap ko dil ki gahraaiooN se mubarak baad daita huN aur is ki kaamyaabi ke li'ae du'a go huN
riaz
Posted: Mon Jan 03, 2005 12:04 pm
by brainheater
asslamualikum
MOHTARAM ABDULLAH NAZIR SAHIB AUR SARA SAHIBA
AP DONON KO ITNI ACHI SITE BANAEY PER BUHAT BUHAT MUBARAK HO
ALLAH AAP KO MAZEED KAMYABIYAN ATA FARMAYE (AMEEEEN)
Bahut bahut shukriya
Posted: Mon Mar 28, 2005 1:51 pm
by Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Saara Saahibah, Hashmat Usmani Saahib, Mahtab Qadr Saahib, Jibran K. Jibran Saahib, Zia Baloch Saahib, Raheel Ahmed Saahib, sbashwar Saahib, Naz Ahmed Saraa saahib, aur brainheater Saahib.
Saare doust Ahbaab ko salam-e-khuloos,
MaiN aap sab se maAzirat khwaah hooN keh mujhe aapkii mubarkbaad ke javaabaat dene meiN bahut der hougaii. Uzr tou kuch nah kuch houtaa hei lekin maiN samajhtaa hooN ke maiN qusoorwaar hooN. Aap sab ne jis muHabbat kaa izhaar kiyaa hei, apni duAaoN se navaazaa hei uske liye maiN aap sab kaa iHsaan mand hooN. Khushi houti hei keh mere itne saare mehrbaan heiN. Allah aap sabko dunyaa aur aakhirat kii kaamyaabiyaoN aur niAmataoN se maalaamaal kare.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Posted: Thu Dec 21, 2006 5:18 am
by muhammad_19k
Mein webmaster ki taraf se Alwaysalone oar Rose ko Urdu Bandhan meiN khushamdeed kehtaa hooN.
Aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.
Posted: Mon May 28, 2007 9:31 am
by muhammad_19k
Salaam Suman Ji
meN aap ka teh e dil se shukrguzaar hooN ke aap ne mari darkhaast ko qubool kiyaa aor urdubandhan meN tashreef laa-eeN. kya meN aap se darkhaast kar saktaa hooN k aap Gosha e T'uaruf meN apna mukhtiSur t'aaurf karwaa-aiN. aor apni kitaab ka ke baaray meN bhi kuch zikr kijiaye. aor agar ho sake to us ka sarwarq bhi apne t'aaruf ke saath hi chaspaaN kar dijiaye.
shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Tue May 29, 2007 5:21 am
by muhammad_19k
Salam Sarina Ji
bazm meN tashree aawari par khushaamdeed. kyaa aap bazm meN aapnaa t'aaruf karwaanaa pasand karaiN gi?
Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Tue May 29, 2007 7:48 pm
by muhammad_19k
Salam Te-arnna
Bazm meN tashreef laanay par khushaamdeed. umeed hai ke aap ko urdubandhan par daikhtay rahne ki niaz HaSil hoti rahay gi.
shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.
Posted: Wed May 30, 2007 6:03 am
by sheeraz_sharif
Salam o alikum
main yahan naya hon umed hay aap log mujha khosh amdeed kahenge
Posted: Wed May 30, 2007 6:05 am
by muhammad_19k
Janab Amjad Mirz Amjad
ko khushaamdeed.
umeed hai ke aap ko hamari bazm pasand aa-aye gi.
Khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui