Page 1 of 1

urdubandhan mushaa'irah # 51 ke liye meree Ghazal

Posted: Tue Apr 14, 2009 11:55 am
by ismail ajaz
mere tamaam paRhne waaloN ko aadaab
urdubandhan mushaa'irah # 51 ke liye meree Ghazal,urdubandhan ke saare chaahne waaloN ki nazr
meree iss ghazal meN jo utaar chaRhaao hai uss ka ta'alluq Sirf merii zaat se hai,aap aiHbaab usse khud se hargiz mansoob mat keejiye


tamasKhur mat uRaa meraa,rulaane tak naheeN pohNchaa
tu mujh se dillagee tow kar sataane tak naheeN pohNchaa

Khataa ho ja'ay gii mujh se,maiHz ikk aadmee hooN maiN
mere haathoN ko tu gardan dabaane tak naheeN pohNchaa

muHabbat ke safar meN ghaaThiyaaN,dushwaariyaaN tow haiN
safar mansooKh karne ke bahaane tak naheeN pohNchaa

mujhe bhii saath lekar chal Zara saa HauSlah dekar
miree chaahat mire jaZbe miTaane tak naheeN pohNchaa

Khudaa raah kar yaqeeN meraa, miree paakeezah ulfat kaa
meree tash'heer se mujh ko zamaane tak naheeN pohNchaa

yeh duniyaa doGhlee hai,har taraf matlab parastee hai
tu meree dostee ko bass lubhaane tak naheeN pohNchaa

zameen o aasmaaN meN taihlkaa mach ja'ay ga ikk din
mujhe Had se nikal kar aazmaane tak naheeN pohNchaa

"khayaal" itnaa samajh le tuu muHabbat ikk Haqeeqat hai
"Haqeeqat ko Haqeeqat rakh fasaane tak naheeN pohNchaa"

Ismail ajaz khayaal