Page 1 of 1

غزل : مقدرآزما کر دیکھتے ھیں

Posted: Tue Apr 14, 2009 1:58 pm
by aabarqi
غزل : مقدرآزما کر دیکھتے ھیں

Re: غزل : مقدرآزما کر دیکھتے ھیں

Posted: Fri Apr 17, 2009 5:13 am
by Sarwar A. Raz
mushfiqee Barqee SaaHeb: aadaab-o-niyaaz!

aap kee Ghazal-e-musalsal baaSirah-nawaaz huyee. dil se daad niklee. bohat Khoob Ghazal hai. ma'loom hotaa hai keh aaj kal t^abee,a't zoroN par hai! aap kee GhazloN meN a'am t^aur par Ghazal-e-musalsal kaa hee raNg hotaa hai aur har she'r baa-maqSad t^aur se doosroN se marboot^ naz^ar aataa hai. :dekhte haiN: radeef meN marHoom Ahmad Faraz kee bhee ek ma'roof Ghazal hai. mujh ko un kee woh Ghazal usee t^araH achhee lagee jaise aap kee yeh Ghazal. aur shikaayat bhee donoN se ek hee hai! ya'nee yeh keh donoN shaayad Z^aroorat se ziyaadah lambee haiN! yeh meree :Khaam-Khayaalee: bhee ho saktee hai. in GhazloN kee zameeneN itnee zarKhez haiN keh abhee to aur nah jaane kitne ash,a'ar ho sakte haiN!

KhayaaloN ke rau meN kahaaN se kahaaN chalaa gayaa! gustaaKhee mu,a'af! ek bohat achhee Ghazal par meree daad qubool farmaa,iYe.

Sarwar A. Raz :Sarwar: