Page 1 of 1

kia kahuuN? kaise kahuuN? kiuN baat aadhii rah gaii?

Posted: Sat Mar 05, 2005 5:37 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

aaj aapkii Khidmat meN apnii ek bahot hii puraanii Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huuN is ummeed ke saath ki aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogii. shukria.


1.
kia kahuN? kaise kahuN? kiuN baat aadhi raih gai!
ho gai nisbat magar hone se shaadi raih gai!!

2.
phool khilte the jahaN, KhushiyaaN bikharti thi jahaN
uR gaya koh~saar saaraa, ujRi vaadi raih gai

yeh she'r AfGhaanistan par Amriika ke jaariHaana Hamle ke ba'd kaha thaa.

3.
zindagi ke jo lavaazim the, sabhi kafoor haiN ab
muKhtasar yeh! zindagi ab saadi, saadi raih gai!

4.
mard-e-muflis ke liye ab yeh sitam bhii Khoob hai
shaah~zaadoN ke liye hii shaah~zaadi raih gai!

aur, ab maqt'a pesh-e-Khidmat hai!

5.
haaye! "Sai'hbaa_Jii"!!, kaho, kia maajra hai aajkal!
nahiiN kam_Kh(o)waab Haasil, bas yeh khaadii rah gaii

kam-Kh(o)waab = kapRe kii ek besh_bahaa qism
khaadii = home-spun low grade cotton fabric

Re: kia kahuuN? kaise kahuuN? kiuN baat aadhii rah gaii?

Posted: Sat Mar 05, 2005 8:56 am
by Safiya
Hashmat Usmani wrote:salaam dosto,

aaj aapkii Khidmat meN apnii ek bahot hii puraanii Ghazal pesh karne kii jasaarat kar rahaa huuN is ummeed ke saath ki aapkii tab'a-e-naazuk par baar-e-giraaN na hogii. shukria.


1.
kia kahuN? kaise kahuN? kiuN baat aadhi raih gai!
ho gai nisbat magar hone se shaadi raih gai!!

2.
phool khilte the jahaN, KhushiyaaN bikharti thi jahaN
uR gaya koh~saar saaraa, ujRi vaadi raih gai

yeh she'r AfGhaanistan par Amriika ke jaariHaana Hamle ke ba'd kaha thaa.

3.
zindagi ke jo lavaazim the, sabhi kafoor haiN ab
muKhtasar yeh! zindagi ab saadi, saadi raih gai!

4.
mard-e-muflis ke liye ab yeh sitam bhii Khoob hai
shaah~zaadoN ke liye hii shaah~zaadi raih gai!

aur, ab maqt'a pesh-e-Khidmat hai!

5.
haaye! "Sai'hbaa_Jii"!!, kaho, kia maajra hai aajkal!
nahiiN kam_Kh(o)waab Haasil, bas yeh khaadii rah gaii

kam-Kh(o)waab = kapRe kii ek besh_bahaa qism
khaadii = home-spun low grade cotton fabric
Mohatram Hushmat sahib adaab
saihbaa aap ka takhullus hai ye aap vo saihbaa haiN jo urdusta par aate rahe haiN. baharhal aap ki ye mazahiya shayeri achi lagi zaroor apni shayeri se lutfandooz hone ka mauqa dete rahiye. gham bhari zindagi maiN hanse ke mawaqe kam hi aate haiN. aik raye ye bhi hai ke aap ke in ashaar ko shayed mazahia shayeri ki forum mai nahi hona chahiye.?

Safiya Ali