Page 1 of 1
Ek Choti si Ghazal - Gardish hamare paaoN main...
Posted: Mon Apr 20, 2009 4:20 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Dosto aur Azeez Saathiyo,
Aadaab!
Ek adna si ghazal aapke khidmat main pesh kar raha hoon. Apni aara se nawazein to nawazish hogi.
Khuda Haafiz,
Aapka apna
Munir Armaan Nasimi
- Ghazal-GardishHamare.jpg (116.16 KiB) Viewed 138 times
Re: Ek Choti si Ghazal - Gardish hamare paaoN main...
Posted: Tue Apr 21, 2009 4:28 pm
by aabarqi
Armaan ki ghazal se hai soz e suroon ayaan
Jis mein numayaan chashni arz e hunar ki hai
Tarz e bayaan salees hai taba'e rasa lateef
Aainadah daar unke jo fikr o nazar ki hai
ارمان کی غزل سے ھے سوز دروں عیاں
جس میں نما یاں چاشنی عرض ھنر کی ھے
طرز بیاں سلیس ھے طبع رسا لطیف
آئینہ دار ان کے جو فکرونظر کی ھے
مخلص
احمد علی برقی اعظمی
Re: Ek Choti si Ghazal - Gardish hamare paaoN main...
Posted: Thu Apr 23, 2009 8:24 am
by sbashwar
Mohtaram Muneer Armaan Nasimi Saheb
dil chahta hai pooch loon bade bahar se
aayee kahaN se aur ye aazim kidhar ki hai
Bohat khoob, aapki ghazal pasand aayee. ooper ka sher zyada pasand aayaa.
Meri daad qubool farmayega.
Re: Ek Choti si Ghazal - Gardish hamare paaoN main...
Posted: Thu Apr 23, 2009 5:21 pm
by munir-armaan-nasimi
aabarqi wrote:Armaan ki ghazal se hai soz e suroon ayaan
Jis mein numayaan chashni arz e hunar ki hai
Tarz e bayaan salees hai taba'e rasa lateef
Aainadah daar unke jo fikr o nazar ki hai
ارمان کی غزل سے ھے سوز دروں عیاں
جس میں نما یاں چاشنی عرض ھنر کی ھے
طرز بیاں سلیس ھے طبع رسا لطیف
آئینہ دار ان کے جو فکرونظر کی ھے
مخلص
احمد علی برقی اعظمی
Mohtarmee o Mukarramee Janab Dr. Barqi Saaheb,
Aapki mohabbatoN ka Qarzdaar hooN main. Aap jaise sukhanwar Daad mil jaaye to mere jaisa shair ghalat-fahmi pad jaaye....
Main abhi seekh raha hooN aur ummeed hai keh aapki islah mere liye mashal-e-raah banengi...
Hausla afzaayi ka tah-e-dil se mamnoon hoon.
Taalib-e-dua,
Munir Armaan
Re: Ek Choti si Ghazal - Gardish hamare paaoN main...
Posted: Thu Apr 23, 2009 5:26 pm
by munir-armaan-nasimi
sbashwar wrote:Mohtaram Muneer Armaan Nasimi Saheb
dil chahta hai pooch loon bade bahar se
aayee kahaN se aur ye aazim kidhar ki hai
Bohat khoob, aapki ghazal pasand aayee. ooper ka sher zyada pasand aayaa.
Meri daad qubool farmayega.
Mohtaram Bhai Salem Ahmad Bashwar Saaheb
Merii ghazal aapko pasand aayi... dil baagh baagh ho gaya.... mujhe bhi yeh sher aur maqta bohat pasand hai.
Hausla afzai ka behad shukriya.