Page 1 of 1

aalami mushaira#51keliye hamaara kalaam aapki nazr

Posted: Mon Apr 20, 2009 11:46 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
dosto

maahe rawaaN ke micre per hamari adna kaavish peshe khidmat hai

gar qubool uftad zahe ......

arz kiya hai

abhi insaaN haqeeqat kay dahane tak nahiN pahuncha
nahiN pahuncha yeh islaami khazaane tak nahiN pahucha

woh dekho rau raha hai aadmi taqdeer ka rauna
khudee say baykhabar hai khud kau paane tak nahiN pahuncha

tadapta hi raha ik baa'amal ka 'ilm seene meiN
raha mahdood seene tak zamaane tak nahiN pahuncha

yeh kaisee uski ulfat hai yeh kaisee rishtedaari hai
woh khwaaboN meiN bhi mera dil lubhaane tak nahiN pahucha

har ik aaqil, mufakkir aur mudabbir nay kaha haamid
"haqeeqat kau haqeeqat rakh,fasaane tak nahiN pahuncha"

nateejaye fikr
hamid baaqari
al hamdulillah

Re: aalami mushaira#51keliye hamaara kalaam aapki nazr

Posted: Thu Apr 23, 2009 8:12 am
by sbashwar
Mohtaram Hamid Baaqari Saheb
:salaam2:

abhi insaaN haqeeqat kay dahane tak nahiN pahuncha
nahiN pahuncha yeh islaami khazaane tak nahiN pahucha

Bohat umda aur dil ko cho lene wali ghazal kahi aapne. Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Re: aalami mushaira#51keliye hamaara kalaam aapki nazr

Posted: Thu Apr 23, 2009 1:50 pm
by aabarqi
Hai Bahut Pur kaif Hamid Baaqari ki yeh ghazal
De Raha hai yeh taghazzul daawat e fikr o amal

Unke tarz e fikr se zaahir hai asri aagahi
Aaj bhi jo bar mahal hai kal bhi hogi bar mahal
Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi

Re: aalami mushaira#51keliye hamaara kalaam aapki nazr

Posted: Thu Apr 23, 2009 2:06 pm
by haamidbaaqri
sbashwar wrote:Mohtaram Hamid Baaqari Saheb
:salaam2:
wa alaikumuslaam wa rahmatullahi wa barakaatuhu
mohtaram bashwar saahib

kaise haiN aap?



abhi insaaN haqeeqat kay dahane tak nahiN pahuncha
nahiN pahuncha yeh islaami khazaane tak nahiN pahucha

Bohat umda aur dil ko cho lene wali ghazal kahi aapne. Meri daad aur mubarakbaad arz hai.
bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad aur mubarabaad ka.

jazakallah
iltemase dua
haamid baaqari

Re: aalami mushaira#51keliye hamaara kalaam aapki nazr

Posted: Thu Apr 23, 2009 2:12 pm
by haamidbaaqri
aabarqi wrote:
Hai Bahut Pur kaif Hamid Baaqari ki yeh ghazal
De Raha hai yeh taghazzul daawat e fikr o amal

Unke tarz e fikr se zaahir hai asri aagahi
Aaj bhi jo bar mahal hai kal bhi hogi bar mahal
Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi
Asalaam o alaikum
mohtaram Dr Ahmed Ali Barqi Azmi saahib

aapki mukhlisaanah daad ke hum behad mamnoono mashkoor haiN.

hameN aapka yeh andaaz bahut pasand aaya.

JAZAKALLAH
iltemaase dua
mukhlis
haamid baaqari