Page 1 of 1

غزل:تمھارا انتظار ھے

Posted: Thu Apr 23, 2009 4:33 pm
by aabarqi
غزل:تمھارا انتظار ھے

Re: غزل:تمھارا انتظار ھے

Posted: Sat Apr 25, 2009 6:30 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Dr. Barqii Saheb,

Aadaab!

"Mere liye bhi kya koyi Udaas BeQaraar hai" misre ko khoob nibhaya hai aapne. Meri computer ki kharabi ki wazah se main kayi din se forum pe haazri nahin de paya.... jiski wazah se aapki kayi takhleequat dekh nahin saka. Muazerat chaahta hoon.

Ek baat kahoonga, yeh ghazal jo aapne kahi hai..... uska matla aapke meyaar se kaafi halka lagta hai mujhe...... aur kayi ek ashaar bhi nahin lage keh Dr.Barqii Saaheb ke hain...... Aisa kyonnnnn mehsoos hua mujhe, pata nahin... magar mujhe jo laga main ne keh diya..... Khata Gunaah Muaf Hum DeewanoN ka...!!

Khuda Haafiz,

Munir Armaan

Re: غزل:تمھارا انتظار ھے

Posted: Sun Apr 26, 2009 1:01 pm
by aabarqi
Munir Armaan Nasimi ye Tabi'at ki hai jaulani
"Sar e tasleem kham hai jo mizaaj e yaar mein aaye"

Sepaasguzaar
Ahmad Ali Barqi

Re: غزل:تمھارا انتظار ھے

Posted: Mon Apr 27, 2009 6:13 am
by munir-armaan-nasimi
Dr. Saheb... apni be-laag aur Be-lagaam tabserah ke liye sharmindah hoon. :?