nigaah wrote:Quote:
Jo muhabbat se daamaan chuRaataa raha
har ghRee khud ko hee aazmaataa raha
matlaa Khubsoorat hai...!!
bohat shukriyaa
Quote:
zindagi ka sabaq jo paRHataa raha
zindgi se voh hee door jaataa raha
yahaN "voh hee" ki jaga "vohi" ki zaroorat hai mere Khayaal say....beher ke mutaabiq...
Jo hukm jee :)
Quote:
paas uss ke nayee baat koii naa thee
guzre lamhooN ke qisse sunaataa raha
waahhhhh...bohut umdaa shair hai...
bohat shkriyaa jee
Quote:
jooTe lafzooN ka gar voh bhi qahil naheN
kaun saa sach hameN voh sunaataa raha?
"jhooTe" ko aap Ghaliban Ghalati say "jooTe" lik gai haiN...shair bohut Khoob hai ye bhi mashAllah...
saaHee kaha aap ne. jitnee jaldee ashaar zehn par vaarid hote gaye ham ne utnee hee jaldi meN yahaN post bhi kar diyaa
Quote:
aarzoo ke diye jub bhi jalne ko the
kiyoN hawa-e-zamaanaa bujhataa raha
Safiay ki baat sahih hai..."hawa bujhaati hai"...meri daKhal andaazi naagawaar na ho tou ek soorat mere zehen maiN hai..
aarzoo ke diye jab bhi jalne ko thay!!
un ko toofaan-e-doraaN bujhaata raha
wah jee khoob dakhal andaazi hai yeh soorat ziyada behtar maloom ho rahi hai. weise meiN agar she'r ko nacar kar letee tu shayed inn ghaltiyooN ko bohat hadd tak door kiyaa jaa sakta thaa lekin ham Tehre jald baaz khair...
Quote:
jab adaavaat, muhabbat ka hissa naheiN
phir voh kiyoN darmiyaaN apne aata raha
is ka matlab maiN nahiN samajh paai.....isliye tabsiray say maazrat....!!
janaba jab muhabbatooN ke rishtooN meN adavateN (yeh koi third party/ situation bhi ho saktaa hai ) Tapak paRe tu muhabbatooN ke rishtooN meN farq paR sakta hai. mera khayal tu yahi hai abb sher iss khayal ko zahir kar raha hai ke naheiN yeh tu aap log hee bata sakte heN. :)
Quote:
meiN sar-e-shaam ko, agli subh ke liye
aafiyaat kee dua se sajaataa raha
is shair ka Khayaal bhi maiN samajh nahiN paai....
yani shaam se pehle (taareekiyooN ke aane se qabl ) dua'oN ka silsilah shrooh kar diyaa ke aglee subha aafiyat le kar aaye. :)
Quote:
roushinee teergi kee jaga le sake
meiN umeedooN ki shama’ jalataa raha
(meiN diye aarzoo ka jalaataa raha----- dosree Soorat)
"meiN" ki jaga "dil" laga dia jaaye tou waazeh ho sakay ga ke ye shair kisi "shaairaa" ka hai "shaair" ka nahiN.....ye mehez mera Khayaal hai aap ko iKhtiyaar hai.....
hummmmmmm... baat tu aap kee durust hai daikhte heN deegar sukhanwar aur asaatizaa iss bare meN kyaa kehte heN. verna mujhe koi e'itraaz naheiN :)
Quote:
shairee ka hunar mujhko aataa naa thaa
zindagi shairee khud sikhataa raha
yahaN bhi Safiya saahiba nay nishaandahi ki hai...jis say mujhay ittefaaq hai.....aur is ki koi soorat is waqt mere zehen maiN nahiN...
jee sis, is she'r ke hawale se meiN khud bhi khaami ko meHsoos kar rahee thee lekin hoovaa kuch yooN ke iss ko ghazal se kharij iss liye naheiN kiyaa ke mehz mamooli ghaltee kee bunyaad par iss ke khayal kee doosree soorat yaa behtar shakl jo mujhe kisee mubassir yaa sukhanwar se mil saktee hai usse kiyoN choR.dooN
Quote:
jab bhi khwabooN ki tabeer mil naa sakee
apni ghazlooN meN uss ko sajataa raha
raah-e-ulfat ke manzil rahe be- talab
har ghaRee raastaa meiN baRhataa raha
ashaar bohut achay haiN.....dono maiN lekin apnay liye aap nay muzakkar ka seGha istemaal kiya hai....albatta ashar bohut Khubsoorat haiN....
majboori hai sis, radeef ko baratne ke liye zaroori ho gaya thaa
Quote:
aadmi ke liye aadmi mautabar
yeh sabaq aadmi hee bhulaata raha
mashAllah.....Khoob kaha..
shukriya
Quote:
jab khuda se ta'alluq mera juR gaya
phir kahaaN darmiyaaN koi aata raha
:Raji: jab tak hawa ke mukhalif chalee
har koi aa'eena hee dikhataa raha
bass ussi zaat ka, hee yaqeeN aaj taak
HoSle ko bulandee pe laataa raha
mashAllahhhhhhhhhh.....SubhanAllah.......bohut hi dilkash ashaar...
is par bhi shukriya
Quote:
jaane kiski dua'eN hoovi mautabar
aandhiyooN se gulooN ko bachataa raha
is shair maiN bhi ehi taassur mil raha hai ke...dua'eN==bachaata raha....halaaNke duaa'eN moannas haiN....ek soorat mere zehen maiN hai....agar aap ko garaaN na guzray....
konsa fael jaanay hua mautabar!!
aandhiyoN say gulooN ko bachaata raha
mujhe kiyoN giraaN guzre gii khair aap kee tajveez tu teak hai lekin chonke lafz fael kee nisbat dua mujhe ziyada behtar maloom ho raha hai agar iss kee presence meN koi aur soorat aap ko samajh aaye tu batahiye gaa. ham bhi sochte heN ke kyaa karna chahiye :smt120
Quote:
Raji tum se zamaane ko kitne gile?
har kohii tum ko hee aazmaata raha
maqtaa bhi Khoob hai.....mujhay yaad paRta hai Raji sahiba is say pehle bhi aap ki ek nazm paRhi thi ...jo mujhay bayyyy hud pasand aayi thi....aap ka zehen mashaAllah is muamlay maiN bohut zarKhaiz maloom hota hai....ke nit naye dilfaraib Khayaalat aap qalamband kiya karti haiN.....mujhay aap ka andaaz zaati taur per bay hud pasand hai.....agar thoRi si tawajju urdu ki grammar per day leN tou bohut musbat tabdeeli aap ke kalaam maiN mehsoos hogi.....
aap ke tafseeli tabsare ke liye bohat bohat shukriya ke yahaaN post karne ka maqsad wasool hoova.
kuch waqt aur study kee kami hai ke yeh ghaltiyaaN baRh gayii heN. inshaAllah koshish rahe gii ke jis qadar jald ho sake iss kami par qaaboo paa sakooN.
go ke maiN bhi aap hi ke darjay say talluq rakhnay waali ek adnaa si taalibaa-e-ilm hooN.....tifl-e-maktab hooN....islaah ki tou Khud mujhay bhi haajat hai....albatta ye kuch nukaat mere zehen maiN aaye thay ...jinhaiN maiN barmalaa likh gai...umeed hai aap ko geraaN na guzra hoga...aur agar guzra ho....tou paishgi maaz'rat ....
Nigaah