Page 1 of 1

غزل:نہ ادھرکے رھے نہ ادھرکے رھے

Posted: Tue Apr 28, 2009 12:24 pm
by aabarqi
غزل:نہ ادھرکے رھے نہ ادھرکے رھے

Ghazal
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Jayien to kahaan ab jayein ham na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Hota nahin woh ma’el ba karam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Sab wada shikan hote hain sanam na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Sahte hi rahe ham unke sitam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Chubhte rahe dil mein khaar e alam na idhar ke rahe na udhat ke rahe
Sab bhool gaye woh qaul o qasam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Qa’em na raha kuchh unka bharam na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Bharte they mohabbat ka jo dam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Ham jinko samajhte they apna ghairon se bhi nikle woh bad tar
Yeh dekh ke aankhein ho gayeen nam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Ham arz e tamanna Aye Barqi us se na karein to kis se karein
Ho jata hai sunkar woh barham na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Re: غزل:نہ ادھرکے رھے نہ ادھرکے رھے

Posted: Thu Apr 30, 2009 5:24 am
by Sarwar A. Raz
azeezam Barqi SaaHeb:aadaab!

aap kee Ghazal hameshah kee t^araH u'mdah hai. kyaa alfaaz^ kaa intiKhaab, kyaa bandish, kyaa maZ^mooN, sab hee daad ke qaabil haiN. so meree daad qubool keejiYe. haaN mat^la' shaayad kitaabat kee Ghalatee kaa shikaar ho gayaa hai:

Jayien to kahaan ab jayein ham na idhar ke rahe na udhar ke rahe
Hota nahin woh ma’el ba karam na idhar ke rahe na udhar ke rahe

doosraa miSra' yooN kar deN to mauzooN ho jaataa hai:

jaayeN to kahaaN----------------------------
hote woh naheeN maa,il ba-karam--------------------------

wassalaam

Sarwar A. Raz :Sarwar: