Page 1 of 1

طرحی غزل برای مشاعرہ شام سخن ڈاٹ کام اپریل 2009

Posted: Wed Apr 29, 2009 1:28 pm
by aabarqi
طرحی غزل برای مشاعرہ شام سخن ڈاٹ کام اپریل 2009


Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Jo thaa dil mein ab hai zubaan par, mujhe pyaar thaa mujhe pyaar hai
Naheen is se badh ke koi khushi, mere paas ab mera yaar hai

Mera dil khezaan ka shikar thaa,na sukoon thaa na qaraar thaa
“Tera saath jab se naseeb hai,meri zindagi mein bahaar hai”

Tere intezaar ka ek din mujhe ek saal se kam na thaa
Mujhe ab naheen hai koi bhi gham,na to zehn par koi baar hai

Tu suna e naghmah e jaan feza,tera husn ho mere samne
Yahi sirf hai mera mud.d’aa,meri rooh ki yeh pukaar hai

Teri har ada pe hoon main feda,teri chashm e mast mein dil ruba
Jo suroor o kaif hai der pa,nheen us mein koi khumaar hai

Main hamesha chashm ba raah thaa,magar ab woh jab mere paas hai
Main aseer e zulf e siyaah hoon,naheen koi raah e faraar hai

Main hoon Barqi shair e be nawa,mere dil mein jab bhi jo aa gayaa
Use likh diya waheen bar mahal,nahin is mein kuchh mujhe aar hai