Page 1 of 1

chand Hamdiyah ash'aar

Posted: Wed May 06, 2009 4:22 am
by yasir shah
assalaamoa'laikum!

chand Hamdiyah ash'aar kahnay kaa sharaf haaSil huvaa , mulaaHiZ'ah hoN :

"khudaa ne saaraa jahaaN banaayaa usee ke shaayaaN hay baadshaahee
vuhee hay "a'laa" vuhee hay "akbar" usee ko zaibaa hay kibriyaa,ee

har ik shajar se qalam banaa looN har ik samundar banay siyaahee
jo us ki ta'reef liKhnay baiThooN to khatm ho jaa.ay raushnaa,ee

haiN midHataiN un ki shahr bhar maiN jo tairee Hamd-o-canaa maiN gum haiN
jinhaiN yahaaN pooChtaa naheeN koi kar rahay haiN woh khud.sitaa,ee
"
...........................................................................

Re: chand Hamdiyah ash'aar

Posted: Wed May 06, 2009 8:15 am
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah... kya baat hai... Be-shak, usee ko zeba hai Kibriyaa'ee...!!

Nashtar Khaanquahee farmaate hain...

Nako-kaaroN ko Dukh, Aasi ko Izzat Bakhshne Waale
Karam tera, Mujhe ZakhmoN kii shiddat Bakhshne Waale
Bata, kis kis nawazish ka teri Ehsaan maanooN main
Gada ko Bhook, Na-AhloN ko Nemat Bakhshne Waale

Bohat bohat shukriya Yasir Shah Saaheb ke aapne ek behtareen Hamd se nawaza.

Re: chand Hamdiyah ash'aar

Posted: Sat May 09, 2009 2:44 am
by yasir shah
munir-armaan-nasimi wrote:Masha'Allah... kya baat hai... Be-shak, usee ko zeba hai Kibriyaa'ee...!!

Nashtar Khaanquahee farmaate hain...

Nako-kaaroN ko Dukh, Aasi ko Izzat Bakhshne Waale
Karam tera, Mujhe ZakhmoN kii shiddat Bakhshne Waale
Bata, kis kis nawazish ka teri Ehsaan maanooN main
Gada ko Bhook, Na-AhloN ko Nemat Bakhshne Waale

Bohat bohat shukriya Yasir Shah Saaheb ke aapne ek behtareen Hamd se nawaza.

muHtaram Munir SaaHib !!
assalaamoa'laikum


jazaakAllaahu khairan -ab is Sinf maiN aap bhee daad kaa mauqa' faraaham keejiye-

t'aalib-e-du'aa
yasir