Page 1 of 1

یوم مادر :Mother’s Day

Posted: Sun May 10, 2009 10:12 am
by aabarqi
Poetic Tribute To Mother on :"Mother's Day"

یوم مادر:Mother’s Day
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Yaum e maader sabhi manaate hain
Maan ki azmat ke geet gaate hain

Maan hai jinke wajood ki zaamin
Maan ko aksar woh bhool jaate hain

Maan ki mamta jahaan mein hai anmol
Muft mein jisko sab ganwaate hain

Maan ne ki jinki naaz bardaari
Naaz biwi ke woh uthaate hain

Ghar ki sheerazah bandi maan se hai
Maan na ho to yeh toot jaate hain

Unhein maaloom hai ki maan kyaa hai
Maan se jo log choot jaate hain

Maan ka jab bhi khayaal aata hai
Sote sote woh jaag jaate hain

Yeh khayaalaat hain bahut dilsoz
Neend raaton ki jo udaate hain

Maan ka woh qaul yaad hai mujh ko
Wadah karte hain jo nibhaate hain

Maan thee jab tak mujhe khayaal na thaa
Ab mujhe din woh yaad aate hain

Maan ka ne’amul badal naheen Barqi
Is liye jashn yeh manaate hainaabarqi

Re: یوم مادر :Mother’s Day

Posted: Sun May 10, 2009 1:17 pm
by sbashwar
Mohtaram Dr. Ahmad A. Barqi Azmi Saheb
:salaam2:

Maan ne ki jinki naaz bardaari
Naaz biwi ke woh uthaate hain maujoda nasl ki sahi tarjumani hai.

Islam ke taleemat se jiska dil roshan hai uske liye to har rouz mothers/fathers day hai. Ek hadeec bhi share karna chaonga: