Page 1 of 1

TaraHee Ghazal (Mushairah Urduanjuman)

Posted: Wed Jun 10, 2009 9:34 am
by jawaid badauni
Hamari aaNkh jo purnam nahiN hai
woh yeh samjhe hameN ab gham nahiN hai

gham.e janaN, gham.e dauraN ka baNdhan
tou phir kya hai agar saNgam nahiN hai

mira Haal ab woh akSar poochte haiN
“mujhe itna sahara kum nahiN hai”*

Hamara unse rishta bus yeh samjho
taAlluq hai magar paiham nahin haiN

maiN mehv-e yas hooN lekin khushee hai
keh unki bazm meN matam nahiN hai

yeh jada mera jada, toba toba!
yahaN tou naam ko bhi Kham nahiN hai

mahaz.e jung jeeta HausloN se
hamare paas aitom bum nahiN hai

woh ai Jawaid bole sher sun ker
tumhari shairee meN dum nahiN hai

• Jigar Moradabadi


aapki giraNqadr aara ka muntazir,
Jawaid Badauni

Re: TaraHee Ghazal (Mushairah Urduanjuman)

Posted: Wed Jun 10, 2009 3:27 pm
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

mahaz.e jung jeeta HausloN se
hamare paas aitom bum nahiN hai

Meri daad aur mubarakbaad arz hai.

Re: TaraHee Ghazal (Mushairah Urduanjuman)

Posted: Wed Jun 10, 2009 8:14 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
:salaam2:

mahaz.e jung jeeta HausloN se
hamare paas aitom bum nahiN hai

Meri daad aur mubarakbaad arz hai.
moHtarmee Bashwar SaaHab

bahut bahut shukriya....

Nacheez,
Jawaid

Re: TaraHee Ghazal (Mushairah Urduanjuman)

Posted: Mon Jun 15, 2009 3:58 pm
by munir-armaan-nasimi
Hamara unse rishta bus yeh samjho
taAlluq hai magar paiham nahin haiN

Waah ji Waah.. kya tarhi ghazal pesh kii aapne. Puri ghazal ka ek ek sher qaabil-e-daad hai magar mandarza bala sher mujhe behad pasand aaya....... pata nahin kyon mujhe es main Meer Taqi Meer Saheb ka rang nazar aaya.

Daad pesh-e-khidmat hai qobool farmaayein.

Munir Armaan

Re: TaraHee Ghazal (Mushairah Urduanjuman)

Posted: Tue Jun 16, 2009 10:50 am
by jawaid badauni
munir-armaan-nasimi wrote:Hamara unse rishta bus yeh samjho
taAlluq hai magar paiham nahin haiN

Waah ji Waah.. kya tarhi ghazal pesh kii aapne. Puri ghazal ka ek ek sher qaabil-e-daad hai magar mandarza bala sher mujhe behad pasand aaya....... pata nahin kyon mujhe es main Meer Taqi Meer Saheb ka rang nazar aaya.

Daad pesh-e-khidmat hai qobool farmaayein.

Munir Armaan
Munir Arman Naseemi SaHab
Ghazal ki pazeeraayee ke liye beHud mamnoon HooN.

Jawaid