Page 1 of 1

gazal ke kuch shaer nazar karte hoon. Ahle bazam ke arra ke

Posted: Wed Jun 10, 2009 7:27 pm
by rafat
Khuab bunna khatta he mery ghar ke andar
Aarzo ek saaza he mery ghar ke andar

Khushk ankhoon mein sail -ghame ishiq pinhan
Aik toofan chupa he mere ghar ke ander

Her darecche pe makree ke jale tane hein
Band kab se hawa he mery ghar ke ander

Ja ba ja sarburida tamana ke lashey
aik muktal bapa he eray ghar ke ander

Ris raha he laho yan ke deewar o der se
Jane kis ko chuna he mere ghur ke under
Rafat

Sanp palne lage heN mere asteeN mein
Ghair kewin abasa he mere ghar ke ander

Bin urree mar gaiye khahishon ke parande
Khale pingra para he meray ghar ke ander

Phir sir-e sham rone ke be-kal aavazen
Kiya koe mur gaiya he mere ghur ke ander

Khale taqoon pe wahshat barasne lage he
Her diya bujh gaiya he mery ghur ke ander

Re: gazal ke kuch shaer nazar karte hoon. Ahle bazam ke arra ke

Posted: Mon Jun 15, 2009 4:24 pm
by munir-armaan-nasimi
Mohtarma Rifat Sahiba....

Ek behad hassas ghazal pesh kii hai aapne.. badi mushkil radeef o qaafiya ka istemaal badi khush-asloobi se kiya hai aapne.. har ek sher khud apni daad usool kar leta hai...... mujhe yeh ashaar bohat pasand aaye...

Khushk ankhoon mein sail-e-gham-e-ishq pinhaaN
Aik toofan chhupa hai mere ghar ke ander

Ris raha he lahoo Es ke deewar o der se
Jane kis ko chuna hai mere ghar ke under

Bin urree mar gaye khwahishon ke parinde
Khaali pinjra pada hai mere ghar ke ander

Khaali TaqoN pe wahshat barasne lagi hai
Her diya bujh gaya hai mere ghar ke ander


Ummeed hai aap aaindah bhi apni dilkush ghazal se nawazti rahengi.

Munir Armaan

Re: gazal ke kuch shaer nazar karte hoon. Ahle bazam ke arra ke

Posted: Mon Jun 15, 2009 5:12 pm
by rafat
Mohtaram Munir Arman Naseme Sahib,

Bohat mamnoon hon keh apne gazal pasand frmaie bus darte darte yeh radef aur kafia istamal kiya tha keh os lmhe yeh he takaza th tabeat ka. Aik mutaba phir shukriya
rafat