Page 1 of 1

ghazal: patthar jade hain

Posted: Sat Jun 20, 2009 8:55 am
by Aadil Rasheed
Ghazal

TUMHARE TAJ MEN PATTHAR JADE HAI
JO GOHAR HAIN WO THOKAR MEN PADE HAIN

UDANE KHATM KAR KE LAUT AAO
ABHI TAK BAAGH ME JHOOLE PADE HAIN

MIRI MANZIL NADI KE US TARAF HAI
MUQADDAR ME MAGAR KACHHE GHADE HAIN

USE TO YAAD HAIN SAB APNE WADE {HAMD KA SHER }
HAMI HAIN JO USE BHOOLE PADE HAIN

ZAMIN RO RO KE SAB SE POOCHHTI HAI
YE BADAL KIS LIYE ROOTHEY PADE HAIN

MAHAL KHABON KA TOOTA HAI KOI KYA
YAHAN KUCH KAANCH KE TUKDE PADE HAIN

KISI NE YUN HI WADA KAR LIYA THA
JHUKAYE SAR ABHI TAK HAM KHADE HAIN

MAIN PAGAL HOON JO UNKO TOKTA HOON )
MIRE AHBAB TO CHIKNE GHADE HAIN

TUM APNA HAL KIS SE KEH RAHE HO
TUMHARI AQL PAR PATTHAR PADE HAIN

YE SAANSEN , NEEND, AUR ZALIM ZAMANA
BICHAD KAR TUM SE KIS KIS SE LADE HAIN


aadilrasheed67@gmail.com, mustanad@gmail.com
9810004373, 9811818516
[/b]

Re: ghazal: patthar jade hain

Posted: Sat Jun 20, 2009 5:46 pm
by munir-armaan-nasimi
MAIN PAGAL HOON JO UNKO TOKTA HOON
MIRE AHBAB TO CHIKNE GHADE HAIN

Masha'Allah Adeel Rasheed Saheb... kya shaandaar ghazal kahi aapne. ek ek sher aaina dekhata hai.. mandarza bala sher mujhe kaafi achcha laga... puri ghazal ek hi saans main padh gaya... aisi rawaani hai.

Matla' main typing mistake hai shayad.. Jo Gohar Hain kii jagah 'hai" ho gaya hai.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi

Re: ghazal: patthar jade hain

Posted: Sun Jun 21, 2009 1:37 pm
by Aadil Rasheed
[b]shukriya ghaza pasand farmane ke liye
han waqai hain ki jagh hai wahid type ho gaya
magar aap jaise log samajh jaate hain ke ye ghalti type ki hai na ke shair ki


mamnoon hoon ke aapne nishan dahi ki
aadil rasheed
[/
b]

Re: ghazal: patthar jade hain

Posted: Tue Jun 23, 2009 5:26 pm
by munir-armaan-nasimi
Bhai Adeel Saheb.. es main shukriye ki kya baat hai.. humse aksar aisi ghalti ho jaati hai. Agar aap yeh ghazal Urdu main mere paas e-mail kar dein to main esko apne dost ke risale ko bhej doon. Eske elava agar koi aur taza ghazal aap bhejna chaahein to bhej diziye... nawazish hogi.

Mera e-mail hai:

armaan28@yahoo.com

Re: ghazal: patthar jade hain

Posted: Wed Jun 24, 2009 4:22 am
by sajhashmi
munir-armaan-nasimi wrote:MAIN PAGAL HOON JO UNKO TOKTA HOON
MIRE AHBAB TO CHIKNE GHADE HAIN

Masha'Allah Adeel Rasheed Saheb... kya shaandaar ghazal kahi aapne. ek ek sher aaina dekhata hai.. mandarza bala sher mujhe kaafi achcha laga... puri ghazal ek hi saans main padh gaya... aisi rawaani hai.

Matla' main typing mistake hai shayad.. Jo Gohar Hain kii jagah 'hai" ho gaya hai.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi
Bohut khoob.wah wah achi ghazalia shaiiri pesh ki hey Aadil Rasheed saheb ney

Re: ghazal: patthar jade hain

Posted: Thu Jun 25, 2009 6:45 pm
by Aadil Rasheed
shukriya

muneer bhai kehawale se ek ittilaa

Posted: Sun Jun 28, 2009 6:22 am
by Aadil Rasheed
mohtram assalam alekum
umeed hai mizaj naghma bar honge
aapke hukm ki tameel me aapke email par chand ghazlen irsal kar deen hai n inpage men apko jan kar khushi hogi ke ham bhi ek risala mustanad ke nam se nikal rahe hain aap se darkhwast hai ke aap apne ahbab tak hamare risale ki khabar pahunchaden aur ghazlon , mazameen ki bhi darkhwast hai
email hai
mustanad@gmail.com
aadilrasheed67@gmail.com
f-53/1,abul fazal enclave-2, jamia nagar new delhi -110025 (india)
011-9811818516, 09810004373