barg-e awara :
Posted: Sat Jun 20, 2009 5:32 pm
main duniyan ke har ik bachche se yun bhi pyar karta hoon
ke bachcha saanp ka bhi ho to zahreela nahin hota
muhabbat ke samandar men qadam ye soch ke rakhna
badan thak jaye to ismen koi teela nahin hota
din bhar ki thakan odh ke jab bachchon men pahunchu
aati hai pasine se bhi loban ki khushboo
hai tere haath men ab laaj uski rabbe kareem
parinda shart laga baitha aasman ke saath
ham ahl-e- fikr bhala kaise neend bhar soyen
ke jaag uthti hain fikren yahan azaan ke saath
chlo in sardiyon me ye hunar mazdoor se seenkhen
wo thandi raakh men kis tarha garmi dhoond leta hai
dikhai kuch nahi deta magar allah ki qudrat
ke bachcha jism ki khooshboo se ammi dhoond leta hai