Page 1 of 1

Waqt-e-rukhsat

Posted: Sun Jun 21, 2009 9:53 pm
by Brijinder
WAQT-E-FURQAT

Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN
Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil
Socha bhi naa thaa

Woh chaNchal si khilkhilahat
Woh tumhari maNd maNd si muskaan
Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay
Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan

Woh tumhaaraa meri baahoN maiN duniya ko bhool jaanaa
Woh behtay ashkoN maiN laraztay laboN ka muskuraanaa
Woh tumhaari pal pal ko shiddat say jeenay ki chaah
Woh tumhaari nazar maiN phool say komal khwaaboN ki raah

Woh tumhaari dabdabaai aaNkhoN maiN unkahayay sawaal
Woh tumhaaray ghanay dasht say gasuoN ka jamaal
Woh tumhaaray hoNthoN ka tilsmee khumaar
Woh tumhaaraa mujh par beloss aitbaar

Bahut yaad aataa hai yeh sub meri jaaN
Aur yaad aataa hai bahut tumhaaraa woh-
"SUNO NA"
-----------------------------------

Re: Waqt-e-rukhsat

Posted: Mon Jun 22, 2009 11:32 am
by munir-armaan-nasimi
Hai hai.. kya baat hai...

Bohat yaad aata hai woh tumhaara.... "Suno Naa".. :lol:

My Dear Brijender bhai... kya nazm keh di aapne.. dil hila ke rakh diya... itna romantic... Masha'Allah...!!

If u dont mind.. es nazm ka unwaan "waqt-e-furqat" nahin.. "Suno Naa...!!" rakh dein.. .maza aa jaayega...!!

Armaan

Re: Waqt-e-rukhsat

Posted: Fri Jul 31, 2009 5:56 am
by Brijinder
Munir saheb,Itni ziyada tareef!!!meray pass to alfaaz bhi nahiN."suno na"aakhir main aanay say hi to nazm ka suspense hai,mera aisa maanana hai.Kya kehtay hain aap?Aek baar phir teh-e-dil say aapka shukriya.

Re: Waqt-e-rukhsat

Posted: Fri Jul 31, 2009 5:57 am
by Brijinder
Kya hai Zindagi?

Mai ka jadu bhara mast payaala hai
Ya ki tanhai kay seenay maiN laga khaNjar
Mehboob kay hoNtoN ki sheerni hai
Ya ki zar-o-zameeN kay khawaaboN ka naam
Har nafs maiN zinda hairat ki taazgi hai
Ya ki sub ka sham say ik thaka sa rishta?
Zindagi kisko kehtay haiN, dost??

-----------------