Page 1 of 1

LIAQUAT ALI ASIM KI AIK GHAZAL DEKHIYEY

Posted: Wed Jun 24, 2009 4:37 am
by sajhashmi
AAPKI BASARATOUN KI NAZR:
Syed Anwer Jawaid Hashmi,
24-06-2009

Re: LIAQUAT ALI ASIM KI AIK GHAZAL DEKHIYEY

Posted: Wed Jul 01, 2009 4:05 pm
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah Hashmi Saheb... hum sab aapke intehaayi shukr guzaar hain keh aap apne azeez dostoN ko bhi hamari bazm main shaamil kar rahe hain aur unki ek se badh kar ek ghazal se hamein sarfaraaz farma rahe hain. Dr. Liaquat Ali Saheb kii yeh ghazal behad shaandaar hai aur intehaayi dilkush. Daad qobool karein.

Sirf ek baat poochni thee.. apne ilm main izaafe ke liye keh... Aasim Saheb ne apne Maqte main misra e sani main likha hai

"Ye Sannata Nahiin Zanjeer ka Aawaazah Ghar Main Hai"

Main ne pahli baar... "aawaazah" ka istemaal dekha. Kya ess se pahle bhi kisi shair ne aawaaz ko ess tarah istemaal kiya hai???

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi