Page 1 of 1

Nai ghazloun k saath Syed Anwer Jawaid Hashmi

Posted: Wed Jul 15, 2009 5:04 am
by sajhashmi
Assalam o Alaikum Munir Arman Nasimi aur Nazireen Urdubandhan

Re: Nai ghazloun k saath Syed Anwer Jawaid Hashmi

Posted: Sat Jul 18, 2009 3:20 am
by nafeesa
MoHtaram Hashmi Sahab
Adaab

Bohat murassa ghazal kahi aapne.
Sher # 2 aur 3 ke kya kehne. Daad arz hai.

Nafeesa
Bangalore

Re: Nai ghazloun k saath Syed Anwer Jawaid Hashmi

Posted: Sat Jul 18, 2009 6:06 am
by munir-armaan-nasimi
Jo kehne kii khwahish rahi kab kaha
Bohat sher humne sunaaye magar

Ab bhi na kahenge Hashmi Saheb to phir kab kahenge... yeh agar magar chhodiye aur jaldi se keh diziye jo kehne kii khwahish hai..... woh kya kehte hain na...

Aarzoo, Armaan, Khwahish, Muddua Le Jaayega
Dard ka Toofaan aa kar sab Udaa Le Jaayega

To kab keh rahe hain aap??? :lol:

Masha'Allah dono ghazlein intehaayi dilkush o dilnasheen hain. aapka rang dooor se jhalakta hai... Ghazal main naye naye radeef o qaafiye se jo jiddat aap paida kar rahe hain wohh hum jaise taalib-e-ilm ke liye bohat mufeed hai. Insha'Allah hum bhi aapke naqsh-e-qadam par chalne ki koshish karenge.

Daad ke phool pesh e khidmat hain. Gar qobool uftad......!!

aapka apna,

munir armaan nasimi