Page 1 of 1

is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Wed Jul 15, 2009 5:55 am
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-meHfil: aadaab!

pehlee August 2009 ko Detroit meN Nahid Virk ke zer-e-ehtimaam ek mushaa,i'rah hone waalaa hai. is meN marHoom Ahamd Faraz ke teen miSre' ba-t^aur-e-t^araH diYe gaYe haiN aur shaa,i'r in meN se kisee par bhee Ghazal keh sakte haiN. un meN se jo miSra' maiN ne muntaKhib kiyaa thaa woh yeh hai:

"is ko woh jaane use paas-e-wafaa thaa keh nah thaa"

maiN is mushaa,i'reh meN ba-wujooh shirkat naheeN kar sakooN gaa. lekin is t^araH meN jo Ghazal huyee hai us ko aap ke saamne pesh kar rahaa hooN. ummeed hai keh apnee raaYe se nawaazeN ge. shukriyah!
============================
GHAZAL

Sarwar A. Raz "Sarwar"

sajdah-e-kufr sar-e-koo-e-anaa thaa keh nah thaa?
dil meN Sarwar! tire kuchh Khauf-e-Khudaa thaa keh nah thaa?

ham Ghareebaan-e-wafaa the, so wafaadaar rahe
:is ko woh jaane use paas-e-wafaa thaa keh nah thaa:!

Haif! DhooNDaa kiyaa too raah-e-t^alab meN us ko
yeh bataa dil mire! kuchh apnaa pataa thaa keh nah thaa?

ek saayah thaa, guzar-gaah-e-naz^ar thee, maiN thaa
kyaa Khabar mujh ko keh woh kaun thaa, kyaa thaa, keh nah thaa!

zeHmat-e-zeest, Gham-e-aarzoo, fikr-e-dauraaN
har ghaRee ek nah ik khaTkaa lagaa thaa keh nah thaa?

i'shq tasbeeH-e-azal, i'shq hee tasbeeH-e-abad
i'shq hee HaaSil-e-Sad-SubH-o-masaa thaa keh nah thaa?

har t^araf laalah-o-gul, boo-e-bahaaraaN har soo
koyee batlaaYe keh woh jalwah-numaa thaa keh nah thaa?

haaN wohee chheR gayaa jo yeh rubaab-e-hastee!
jaan-e-jaaN, jaan-e-Ghazal, jaan-e-wafaa thaa keh nah thaa?

yak-ba-yak ruk gayee :Sarwar: jo yeh nabZ^-e-hastee
sach bataa! too ne use yaad kiyaa thaa keh nah thaa?
===========================

Re: is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Sat Jul 18, 2009 3:28 am
by nafeesa
MoHtaram Sarwar Sahab
Tasleemat

Marhoom Ahmad Faraz Sahab ke tarah misre par aapki ghazal ke har sher achchay lage. Matla zyada dil ko chu liya.
Dheron daad qubool kijiyega
Nafeesa
Bangalore

Re: is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Sat Jul 18, 2009 6:15 am
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah Sir ji, aapki ghazal ne dil khush kar diya. Mujhe aiteraaf hai keh main Ahmad Faraz Saheb ki woh ghazal nahin padha hoon magar wohh kami aapki ghazal padhne ke baad puri ho gayi... Sab ashaar to ek se badh kar ek hain phir bhi mujhe jo sher sab se ziyada pasand aaya woh ye hai...

i'shq tasbeeH-e-azal, i'shq hee tasbeeH-e-abad
i'shq hee HaaSil-e-Sad-SubH-o-masaa thaa keh nah thaa?

Taalib-e-dua,

Munir Armaan

Re: is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Sat Jul 18, 2009 3:37 pm
by Sarwar A. Raz
a'zeezah Nafisa: salaam!

aap ko yahaaN dekh kar bohat Khushee huyee. aatee rahiYe aur doosree Urdu meHfiloN meN bhee jaa,iYe. sab ko aap jaise dostoN kee zaroorat hai. waqt nikaal kar www.urduanjuman.com par bhee jaaYeN. aap ko wahaaN jaa kar Khushee ho gee.

meree Ghazal ko pasand karne aur daad dene kaa bohat shukriyah. Bangalore kabhee gayaa to naheeN lekin wahaaN kayee dost rehte haiN. sunaa hai bohat achhee jagah hai. dekhiYe qismat kab wahaaN le jaatee hai! Khush rahiYe.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Sat Jul 18, 2009 3:39 pm
by Sarwar A. Raz
mukarramee Munir SaaHeb: aadaab!

daa ke liYe mamnoon hooN. Faraz kee yeh Ghazal maiN ne bhee ab tak pooree naheeN dekhee hai. kisee dost se le kar paRh looN gaa. ek baar phir shukriyah.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

aadil rasheed : mubarakbad

Posted: Sun Jul 19, 2009 12:17 pm
by Aadil Rasheed
mohtram apki ghazal pasand aai badi hi mushkil radif thi magar aapne poori ghazal me behter tarah se nibhai
is zameen me ghazal kehna koi aasan kam nahin
mubarakba qubool farmayen
aur do misrw kya the
inayat farmayen


mera skype no. hai aadil rasheed67

Re: is ko woh jaane: ek Ghazal

Posted: Tue Jul 21, 2009 5:48 am
by Sarwar A. Raz
janaab Adil SaaHeb:aadaab!

Ghazal kee daad ke liYe mamnoon hooN. bohat bohat shukriyah!

baaqee ke do miSre' ab DhooNDtaa hooN to naheeN milte. maiN Naheed se poochh kar likh dooN gaa. sabee miSre' mushkil aur be-lut^f the. Khair, yeh miSra' tajweez karne waale kee pasand hai.

inshaa Allah Skype par mulaaqaat ho gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar: