Page 1 of 1

aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Tue Jul 21, 2009 12:01 pm
by Aadil Rasheed
:

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Wed Jul 22, 2009 5:15 am
by munir-armaan-nasimi
Masha'Allah Adeel Bhai Saheb...... Kya Kaat-na hai... ohhhhh mera matlab kya dilnasheen ghazal hai.... bohat hi shaandaar... aap naye naye radeef o qafiye dhoond dhoond kar late hain aur Ghazal ke husn pe chaar chaand laga dete hain. Sab ashaar to behad achche hain magar mujhe ye sher...... andar tak chooo gaya.

Bichchadne ka Nahiin hai Khuaf Koi
Aqueeda Saare Kartab Kaat-ta Hai

Alla'h kare aap roz roz aisi ghazlein pesh karte rahein aur hum sairaab hote rahein.

Aapka apna,

munir armaan

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Wed Jul 22, 2009 5:35 am
by Aadil Rasheed
mohtram muneer saheb aapko ghazal pasand aai

shukriya

nai nai zameene naye naye qafiye yahi mera shauq hai aapne mere sab se ache sher ko pasand farmaya ye is bat ki daleel hai ke aap ek mazhabi soch ke malik hain yahan sher ka mahboob ke alava doosra pahloo allah par pukhta aqeeda aur shaitan ka barghalana hai jo ke mere amooman shero me pahloo mlta hai
apka ghazal farmane ka ek bar phir mamnoon hoon
aadil rasheed
skype: aadil rasheed67

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Fri Jul 24, 2009 10:45 am
by yasir shah
assalaamoa'laikum!
muHtaram Aadil saaHib !

aap ki ghazal maiN nudrat-e-khayaal daiKh kar achChaa lagaa-

"alif bai tai siKhaaee jis ko maiN nay
miree baatoN ko voh ab kaaTtaa hay"


vaah ,,khoob

aik she'r aap ne adhooraa ChauR diyaa daiKh leejiye gaa -miSra'-e-oolaa hay caanee naheeN hay -


jazaakAllah

yasir

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Fri Jul 24, 2009 6:15 pm
by Aadil Rasheed
walekum aapka shukriya
aapne sher pasand farmaya lagta hai aap bhi kisi aqrab(behad qareebi) ka shikar ho chuke hain

main to ghazal suna ke akela khada raha
sab apne apne chahne walon men kho gaye
shukriya kaun sa sher reh gaya yahan kuch nazar nahin aa raha hai
wassalam
aadil rasheed

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Sat Jul 25, 2009 6:51 am
by munir-armaan-nasimi
Adeel bhai... aapne pahle waali ghazal ko badal diya hai.... kuch raddo badal ke baad... hai na?!!

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Sat Jul 25, 2009 3:18 pm
by Aadil Rasheed
assalam alekum
ji meri aadat hai ke main apne misre badalta rehta hoon
agar pasand naaye hon to kya mai
badal doon

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Sun Jul 26, 2009 8:06 am
by munir-armaan-nasimi
Aadil Rasheed wrote:assalam alekum
ji meri aadat hai ke main apne misre badalta rehta hoon
agar pasand naaye hon to kya mai badal doon



Arrey nahiin bhai.. kyon badal denge... har sher achcha hai magar...... hum pahle wale sher pe tabsera karte hain.... aur baad main wahi sher badal jaata hai to...... hum jhootey :lol: sabit ho jaate hain....... hai na?

aaj se ek maah baad, ek saal baad... agar koi padhega to ghazal main alag sher aur hamare tabserah main alag sher...... kya sochega wohh Qaari.

Aapki taza ghazal ka intezaar hai. Aapki kuch ek ghazal main ne hamare Sehmahi "Rauzan" ke liye bhej diya hai...... shayad ess shumare main shaamil hoga.

Aapka apna,

Munir Armaan Nasimi

Re: aadil rasheed ghazal:aqrab kat ta hai

Posted: Sun Jul 26, 2009 9:57 pm
by Aadil Rasheed
asok
baat to aapki theek hai

aage se khayal rahega

sher men kabhi kabhi karna padta hai