Page 1 of 1

Apni duo Ghazloun ka saath.S Anwer Jawaid Hashmi

Posted: Tue Jul 28, 2009 11:21 am
by sajhashmi
Nazireen Urdubandhan aadab!
Syed Anwer Jawaid Hashmi,Karachi
28-07-2009 :grin:

Re: Apni duo Ghazloun ka saath.S Anwer Jawaid Hashmi

Posted: Thu Jul 30, 2009 6:10 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Janab Hashmi Saheb.... salaam o rehmat.

Aapki dilkush, shagufta o sheereen ghazloN ne dil khush kar diya. Meri aap se guzarish hai keh aap..... ek baar main agar ek ghazal share karein to hum jaise Qaari ke liye.... apne tassuraat ko bayaan karne main aasaani ho. Ab dono hi ghazlein itni achchi hain keh...... kis ghazal ka kaunsa sher "quote" karoon? Jawaab bada lamba ho jaayega........ isliye ek waqt main ek ghazal ho to mere liye aasaani hogi (Yeh sirf meri naqas rai hai... ess se kisi ka muttafiq hona zaroori nahin)

Mujhe aapki pehli ghazal ka yeh ashaar bohat pasand hain........

Ek tassaur seene ko jal thal kar de
Garche bahar chalti Jaaye Loo kaisi

Qalb o zehn muattar karte rehte hain
Un LafzoN main hoti hai Khushboo kaisi

Taalib e dua,

Munir Armaan Nasimi