Page 1 of 1

Sard-bedard mausam

Posted: Tue Aug 11, 2009 9:06 pm
by Brijinder
Sard-bedard mausam

Sard hai raat bahut
Chand say pighal-pighal rahi hai barf chandni
Aur utar rahi hai meray takhhyul ki vaadioN main
Meray khwaaboN kay jharnoN maiN
Meray armaanoN kay goshoN maiN
Kohra ban kay ghayray hai mujhay abr-e-tanhai
Aur yakhbasta sa ho gaya jaisay mera tamaam vajood
Lagta hai is baar
Ki garmi-e-jazbaat bhi bacha na payaygi ziNdagi meri
Is baar jo aya hai yeh sard-bedard mausam
Is baar yeh khatm nahi hoga kabhi.....

----------------