Page 1 of 1

Ghazal: "jab se ham chaar paise ..."

Posted: Sun Mar 06, 2005 10:45 pm
by irfan abid
aadaab, dosto!

kuchh roz qabl Abdullah Nazir Sb ne Urdustan meN apnaa ye misra bataur-e-tarah diyaa thaa: aap bhii mujh pe tuhmat lagaane lage. maiN ne is zameen meN kuchh ash.aar kahe haiN jo pesh-e-Khidmat haiN. is martaba maiN girah nahiiN lagaa rahaa huuN kyuuNki avval to ye kaam mere liye qadre dushvaar saabit huaa, doyam misre kaa mizaaj Ghazal ke mizaaj se judaa hai, so vo vaise bhii yahaaN khaptaa nahiiN. hasb-e-maamuul, aap kii raae kaa intizaar rahegaa.

Ghazal

jab se ham chaar paise kamaane lage
ahl-e-dunyaa to sar par biThaane lage!

haisiyat se haiN vaabasta rishte sabhii
ye samajhne meN ham ko zamaane lage

kaasa dekhaa jo ik tifl ke haath meN
aish-o-ishrat ke daave fasaane lage

ik zameeN to saNbhaltii nahiiN aur ham
chaaNd taaroN pe dunyaa basaane lage!

ham ne dekhe haiN ahl-e-siyaasat ke dil
buGhz-o-nafrat ke sab kaar.Khaane lage

adl-o-eemaaN mataa-e-dukaaN ho gaye
log in kii bhii bolii lagaane lage

aaj kii nasl kii fikr ke saamne
apne afkaar-e-:nau: bhii puraane lage

kyaa hai tinke kii qeemat, Khabar ho gayii
jab nasheman ham apnaa banaane lage

zindagii kaa sabaq hai, kuchal do use
jab tamannaa koii sar uThaane lage

ham ne sochaa thaa :Abid:, kahoge Ghazal
tum to apne masaail sunaane lage!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Re: Ghazal: "jab se ham chaar paise ..."

Posted: Mon Mar 07, 2005 3:14 am
by naheedv
Irfan ji,
aadaab,

buhat arse' ke ba'd aap kee koyee tarahi ghazal paRhne ko milee.
aap ne bajaa kahaa ke ghazal kaa rang misr'e ke rang se hat kar hai aur shaayad yahii baat hai jo isey baaqi dostoN kee iss tarahi ghazal ke judaa hone par majboor kar rahi hai.

ghazal pasaNd aayee aur maqta' kyaa hee khoob hai, hum tau waaqaee ghazal meiN apne dukhaRe rote heiN yaa kam az kam maiN tau aisaa hi kartee hooN tau aap kaa maqta agar sab par naheeN tau mere oopar tau bilkul sahi fit hotaa hai :)
khair meree jaanib se daad paish-e-khidmat hai.

mukhliS
Naheed

Posted: Mon Mar 07, 2005 5:48 am
by Raji
Irfan Abid wrote:
Janab-e-Irfan Abid SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

hasb-e-mamool aap ka kalam aur uss meN maujood mazamneen pasand aahe.


jab se ham chaar paise kamaane lage
ahl-e-dunyaa to sar par biThaane lage!
wah bohat khoob


haisiyat se haiN vaabasta rishte sabhii
ye samajhne meN ham ko zamaane lage
sau feesad durust farmayaa aap ne. :(


kaasa dekhaa jo ik tifl ke haath meN
aish-o-ishrat ke daave fasaane lage
:( SaHee keh rahe heN aap

ik zameeN to saNbhaltii nahiiN aur ham
chaaNd taaroN pe dunyaa basaane lage!
wah bohat khoob

ham ne dekhe haiN ahl-e-siyaasat ke dil
buGhz-o-nafrat ke sab kaar.Khaane lage
yeh tu hai :-)


adl-o-eemaaN mataa-e-dukaaN ho gaye
log in kii bhii bolii lagaane lage
wah wah jee bohat khoob


aaj kii nasl kii fikr ke saamne
apne afkaar-e-:nau: bhii puraane lage
:shock: aisa bhi hotaa hai :-)


kyaa hai tinke kii qeemat, Khabar ho gayii
jab nasheman ham apnaa banaane lage
superb

zindagii kaa sabaq hai, kuchal do use
jab tamannaa koii sar uThaane lage
bohat umdah

ham ne sochaa thaa :Abid:, kahoge Ghazal
tum to apne masaail sunaane lage!
:lol: :lol: :lol:


moHtaram Abid saaHeb tamaam hee ashaar laajawab heN. weise iss zameen per shauraa/shairaat kee aksariyaat ne kamaal ke ashaar bhande heN. iss liye bohat lutf aa raha hai sukhanwarooN kee takhleeqaat paRhte hoove.

ek bohat hee shandaar-o-jaandaar ghazal pesh karne par meree janib se daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam
Zahida Raees :Raji:


Posted: Fri Mar 11, 2005 3:37 am
by irfan abid
Naheed sahiba, aadaab!

kaisii haiN aap? ye jaan kar bahut Khushii huii ki ye be.tukii sii Ghazal aap ke aalaa zauq kii taskeen ke qaabil saabit huii. :-) aap kii daad aur hausla.afzaaii ke liye tah-e-dil se shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Fri Mar 11, 2005 3:42 am
by irfan abid
Raji sahiba, aadaab arz hai!

aap hamesha nihaayat faraaKh.dilii se mujh naacheez kii himmat.afzaaii kartii haiN, aur maiN hamesha shukriya kah kar rah jaataa huuN. is martabaa bhii aap ko isii par iktifaa karnaa hogaa! :-)

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Bohot khoob

Posted: Sat Mar 12, 2005 8:48 am
by Safiya
Aadaab,

Waah bohot khoob, ghazal ka mizaaz bhi judaa haiy aur andaaz bhi juda,

veyse aapki ye ghazal kisi taareef ki mohtaaj nahi lekin ye kehna zaroori haiy ke kaafi arse baad itni acchhi ghazal paDi haiy ,jiske har lafz se sehmat hoon main.

Zindaghi ke behad kaDvi haqeeqton ko bohot hi khoobsoortee se lafzon ka jaamaa pehnaaya haiy aapne, umeed haiy humaari mubarakbaad kubool karenge.

Safiya

bahut khoob

Posted: Sun Mar 13, 2005 8:38 am
by Mahtab Qadr
Bhari Irfan Abid sahib
salaam e masnoon

aapki ghazal aur is mizaaj ki ghazal ne bahut acha tassur chorha hai, waqai zindagi ke masayel ko ghazal ki mala mai puro kar aapne waqt ke taqaazoN ke sath ghazal ko hamahang karne ki kamyaab koshish ki hai. is ghazal par aap ki salahiyatoN ko sitayesh ke phool pesh karte huve aapko dili mubarakbaad nazr kar raha hoN.
aapka bhai
Mahtab Qadr

Posted: Tue Mar 15, 2005 2:52 pm
by khozema husaini
mohtaram irfan aabid saheb

aadaab

is khoobsoorat ghazal ke liye dili daad hazir he qubool farmayen

Husaini

Posted: Sat Mar 19, 2005 4:38 pm
by irfan abid
safiya sahiba, aadaab!

aap se Ghaliban pahlii martaba taKhaatub ho rahaa hai. ummeed hai aainda bhii aap karam farmaatii raheNgii. ye jaan kar bahut Khushii huii ki merii adnaa koshish aap ne pasand farmaayii. hausla.afzaaii kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sat Mar 19, 2005 4:40 pm
by irfan abid
Mahtab Sb, v'assalaam!

aap ne Ghazal kii jis andaaz meN pazeeraaii farmaayii hai, us se behad Khushii huii. bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sat Mar 19, 2005 4:42 pm
by irfan abid
Husaini sb, aadaab!

aap jaise aalim-o-faazil qaarii kii daad mujh jaise nau.mashq shaair ke liye be.bahaa in.aam hai. navaazish kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Sun Mar 20, 2005 2:22 pm
by rahmed25682
Irfan sahab

Aadaab..

aap kee ghazal nazar say guzry... Wah janab .. kia kahnay hain aap kay ...saada lekin pur-asr andaaz main aap nay zindagi kay talkh haqaaiq ko saamnay rakh dia hay.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed

Re: Ghazal: "jab se ham chaar paise ..."

Posted: Wed Mar 23, 2005 2:44 am
by Hashmat Usmani
salaam Abid saaHib,

aapkii Ghazal nazroN se kia guzrii ki vo to vahiiN samaa hii gaii. subHaan Allah. aapkaa kalaam hamesha kii taraH is baar bhii nihaayat umda aur aalaa hai. aapne aasaan alfaaz meN gahre mazaameen nikaale haiN. aapkii Ghazal ke har she'r bahot Khoob haiN magar jo ash'aar mujhe sab se ziyaada pasand aaye unheN raqam kar rahaa huuN.

Hashmat



haisiyat se haiN vaabasta rishte sabhii
ye samajhne meN ham ko zamaane lage

kaasa dekhaa jo ik tifl ke haath meN
aish-o-ishrat ke daave fasaane lage

ik zameeN to saNbhaltii nahiiN aur ham
chaaNd taaroN pe dunyaa basaane lage!

aaj kii nasl kii fikr ke saamne
apne afkaar-e-:nau: bhii puraane lage

zindagii kaa sabaq hai, kuchal do use
jab tamannaa koii sar uThaane lage

ham ne sochaa thaa :Abid:, kahoge Ghazal
tum to apne masaail sunaane lage!

Posted: Fri Mar 25, 2005 11:15 pm
by irfan abid
Raheel sb, aadaab!

aap se Ghaaliban pahlii martaba taKhaatub ho rahaa hai. ummeed hai aainda bhii aap karam farmaate raheNge. ye jaan kar bahut Khushii huii ki merii adnaa koshish aap ne pasand farmaayii. hausla.afzaaii kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Posted: Fri Mar 25, 2005 11:20 pm
by irfan abid
Usmani sb, salaam arz hai!

bhaaii, Ghazal aap ko pasand aayii, ye nihaayat Khushii kii baat hai mere liye. aap kii giraaN.qadr daad ke liye maiN tah-e-dil se shukriya adaa kartaa huuN.

niyaazmand,
Irfan :Abid: