Page 1 of 1

Dushwar zameen meN mere chund taza ashaar

Posted: Mon Aug 24, 2009 10:06 pm
by jawaid badauni
Ek beHud sangalakh wa ghair muraddaf zameen
meN kuch sher kahe haiN. Aapki graNqadr aara
ka muntazir hooN.

Nacheez
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------

dikha sake nah unheN hum suKhan ki jadugaree
kuch unki tez nazar kuch hamaree behunaree

Tamam umr suna hai woh bemakaN hi raha
keh jis ne Khuwaab meN dekhi thee roz barahdaree

Mareez.e ishq ki teemar dariyaN tou huweeN
Nah kaam aaiee magar charagar ki charagaree

KhazaN ka daur jo hota tou sabr aa jata
yahaN tou fasle baharaN hai aur beSamaree

koii Khayal nah aayaa tire Khayal ke baad
isee aSar ko tou kahte haiN log jadugaree

WaTan ko choRne wale tiree saza hai yehee
aZaab-e Khanabadoshee aZaab-e darbadaree

TumheN nah KharoN ki Aadat nah taab dhoop ki hai
nah kar sakoge kabhi tum hamari humsafaree

woh ab kuch aur baRhane ko haiN sitam apne
miri nazar meN hai Jawaid yeh bhee Khushkhabaree

Re: Dushwar zameen meN mere chund taza ashaar

Posted: Thu Aug 27, 2009 3:00 am
by sajhashmi
YehaN to fasle baharaN hey aur besamaree..kya kehnay janab
aap ki mashq aur maharat ki daad baer haal dee jaiye gii.
Phir bhi khoosh rahiyey
Syed Anwer Jawaid Hashmi,Karachi
27th August,2009/Ramadan 6th ,1430 Hij

Re: Dushwar zameen meN mere chund taza ashaar

Posted: Thu Aug 27, 2009 7:16 am
by jawaid badauni
sajhashmi wrote:YehaN to fasle baharaN hey aur besamaree..kya kehnay janab
aap ki mashq aur maharat ki daad baer haal dee jaiye gii.
Phir bhi khoosh rahiyey
Syed Anwer Jawaid Hashmi,Karachi
27th August,2009/Ramadan 6th ,1430 Hij

MoHtaram Syed Anwar Jawaid Hashmi Sb,
aadaab

aap ke Khat ka lub.o.lhja meri samjh meN nahin aaya. KhuSuuSan yeh dou alfaz jo aap ne istaimal kiye haiN, "Phir Bhi" aur "Bahar Haal." Himmat afzaayee ke liye yaqeenan aap ka mamnoon hooN.

MuKhliS

Jawaid

Re: Dushwar zameen meN mere chund taza ashaar

Posted: Sat Aug 29, 2009 6:37 am
by aabarqi
محترم جاوید بدایونی صاحب
السلام علیکم
اس سنگلاخ زمین میں آپ کی طبع آزمائی لایق تحسین وستائش و پذیرائی ھے۔ناچیز کی پرخلوص داد قبول فرمائیں۔یہ غزل آپ کے شعور فکروفن اور بالغ نظری کی آئینہ دار ھے جو حدیث دلبری اور کارگاہ شیشہ گری سے قطع نظر جدید عصری حسیت کی بھی غماز ھے۔اس گرانقدر کاوش کے لئے ایک با پھر مبارکباد۔
بہ آن گروہ کہ ازبادہ وفا مستند
سلام ما برسانید ھر کجا ھستند
خاکسار
احمد علی برقی اعظمی


اس زمین میں خاکسار کی بھی خامہ فرسائی حاضر خدمت ھے۔
احمد علی برقی اعظمی