Page 1 of 1

Ishq

Posted: Sat Oct 03, 2009 8:20 pm
by Brijinder
Ishq


Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq-
Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton sa-
To kabhi mandir ki moortoN sa
Kabhi uryaanioN ka shaida
To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa
Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

RishtoN say sada juda hai ishq
Isliyay hi bana khuda hai ishq
---------------------