Page 1 of 1

GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Mon Nov 16, 2009 6:41 pm
by azeezbelgaumi
دوستو
غزل حاضرِ خدمت ہے
عزیز بلگامی
[/size]
[/font]
ee.gif
ee.gif (26.43 KiB) Viewed 305 times

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Wed Nov 18, 2009 4:17 pm
by sbashwar
Mohtaram Azeez Belgaumi Saheb
:salaam:

Apka mashkoor houn ke aapne urdubandhan par apni ek umda ghazal pesh ki. Ghazal ke 3 & 6 sheir bohat pasand aaye hain. Meri dili daad aur mubarakbaad arz hai.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Thu Nov 19, 2009 3:47 am
by azeezbelgaumi
Mohataram Salem Bhai

Assalam

Daad ke liye shukr Guzar huN. :grin:

Khaksaar
Azeez Belgaumi

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Fri Dec 04, 2009 5:54 am
by nafeesa
Adaab

Maujoda haalat ki roushni mein aapki ghazal pasand aayee.
Mubarakbaad qubool farmayen.

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Mon Dec 07, 2009 1:49 pm
by azeezbelgaumi
محترمہ نفیسہ صاحبہ
سلام مسنون
غزل کی پسندیدگی کا شکریہ۔
عزیز بلگامی

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Sun Dec 20, 2009 3:31 pm
by munir-armaan-nasimi
Ese main Ek Amaanat Samajh ke Jeeta HooN
Yeh Zindaagi hai Kisi Aur Zindaagi Ke Liye

Sikandari ke liye ye Maqaam-e-Ebrat Hai
Hai Kainaat Mizaaj-e-Qalandari Ke Liye

Waah Waah Dr. Saheb... Kya Khoob Ghazal Hai... Aisi ghazal sirf aap jaise ustaadaaN-e-fann hi keh sakte hain... Mandarja bala asha'r mujhe bohat pasand aaye.

Ummeed hai ab nasar ke saath saath aapki ghazliyaat bhi hamare urdubandhan kii zeenat banengi.

Aap ka apna

Munir Armaan Nasimi

Re: GAZAL BY AZEEZ BELGAUMIدماغ وقف ہوئے جب سے تیرگی کے لیے

Posted: Sun Dec 20, 2009 5:25 pm
by azeezbelgaumi
munir-armaan-nasimi wrote:Ese main Ek Amaanat Samajh ke Jeeta HooN
Yeh Zindaagi hai Kisi Aur Zindaagi Ke Liye

Sikandari ke liye ye Maqaam-e-Ebrat Hai
Hai Kainaat Mizaaj-e-Qalandari Ke Liye

Waah Waah Dr. Saheb... Kya Khoob Ghazal Hai... Aisi ghazal sirf aap jaise ustaadaaN-e-fann hi keh sakte hain... Mandarja bala asha'r mujhe bohat pasand aaye.

Ummeed hai ab nasar ke saath saath aapki ghazliyaat bhi hamare urdubandhan kii zeenat banengi.

Aap ka apna

Munir Armaan Nasimi
Mohatarami Jb Munir Armaan Nasimi Sb

Aadab

Shukiriya ke aap ne ash'aar pasand farmaye.

Jab Aap hamein ustaadaan-e-fann meiN shumar karte haiN to bada khauf mehsoos hota hai keh kahiN hamare taalib ilmaana iktisaab-e-ilm ko break na lag jaaye. Meri Khwahish hai ke qabr ki manzil tak taalib ilm hi rahuN.

Murnir Bhai, aslan pehle main shayar huN phir nasr nigar. Lekin urdubandhan meiN pehle mere mazameen shayaa huye the aur main isi silsile ko barqarar rakhna chaahta tha, lekin aap hazrath ki sheiri takhliqat ko dekh kar hamari rag-e-sukhan phadak gayee aur ham gazaleN bhi post karney lag gaye. Baat bas itni si hai.

Ek baar aur shukriya.

wassalam

Azeez Belgaumi