Page 1 of 1

مرزاغالب کے ۲۱۲ویں یومِ ولادت پر منظوم خراجِ تحسین

Posted: Sun Dec 27, 2009 8:39 am
by aabarqi
مرزاغالب کے ۲۱۲ویں یومِ ولادت پر منظوم خراجِ تحسین
Poetic Tribute To Mirza Ghalib On His 212th Birth Anniversary
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Ghalib e sheva bayaan the muhsin e urdu zabaan
Hartaraf bikhre hue hain jinki azmat ke nishaan

Muttafiq is baat par hai aaj har Ghalib shenaas
Unki urdu shairi hai ek naqsh e javedaan

Unke maktoobaat hain Urdu Adab ke shaahkaar
Unke rashhaat e qalam hai ek ganj e shaigaan

Shakhsiyat ghalib ki apne ahd mein thi tabnaak
Unke afkaar e darakhshaan aaj bhi hain zau feshaan

Mirza ghalib jo they aqleem e sukhan ke taajdaar
Aaj bhi mulk e sukhan par un ka sikka hai ravaan

They woh apne ahd mein sood o ziyaan se be neyaaz
Aaj hain afkaar un ke marjah e danishwaraan

Mirza ghalib ki hai asri maanviat barqaraar
Mit nahin sakte kabhi unke nuqoosh e javedaan

Jumlah aqsaaye jahaan mein aaj Ghalib ki hai dhoom
Bainul aqwaami satah par sab hain un ke qadr daan

Kaif o sar masti taghazzul aur husn e fikr o fan
Bar mala ash’aar se Ghalib ke barqi hai ayaan

Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Re: مرزاغالب کے ۲۱۲ویں یومِ ولادت پر منظوم خراجِ تحسین

Posted: Mon Dec 28, 2009 4:54 am
by Sarwar A. Raz
biraadaram Barqi SaaHeb: aadaab!

Mirza Ghalib kee Khidmat meN aap kaa manz^oom Khiraaj-e-a'qeedat dekhaa aur bohat mustafeed huwaa. yeh aap hee haiN jo itnee aasaanee se aisee naz^m keh lete haiN. kyaa hee achhaa ho keh aap Ghalib par ek maqaalah likh kar i'naayat kareN. mujh ko yaqeen hai keh is se sab dost Khush hoN ge. aap kaa ek she'r kuchh uljhan kaa baa,i'c huwaa:

Jumlah aqsaaye jahaan mein aaj Ghalib ki hai dhoom
Bainul aqwaami satah par sab hain un ke qadr daan

is meN aap ne :satah: likhaa hai. kyaa is kaa yehee talaffuz^ hai yaa :sat^H: (ba-sukoon-e-tey) durust hai. aap is par kuchh raushanee DaaleN to mehrbaanee ho gee.

Sarwar A. Raz :Sarwar:

Re: مرزاغالب کے ۲۱۲ویں یومِ ولادت پر منظوم خراجِ تحسین

Posted: Mon Dec 28, 2009 5:19 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram A'li AHmad Barqi A'zmi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

Mirza Asad Ullah KhaN Ghalib kee shish jihat adabee shakhSiyat aor un kee fanni ma'rkah aaraiyooN se muzae'ian aap ka khiraaj-e-teHseen bilashubah qaabil taoseef hai. jis se aap kee Mirza Ghalib se roHaanee e'qeedat-o-unsiyat ka pata bhee milta hai.

meree jaanib se is dilkash naz^m par jo fanne rawayaat kee Haamil hone ke bawajood aek khaaS infaradiyat-o-jaazbiyat kee Aa'inah daar hai dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Muzaffar AHmad Muzaffar