Page 1 of 1

اردو انجمن کے مجوزہ مصرعہ طرح پر ایک غزل

Posted: Fri Jan 01, 2010 11:54 am
by aabarqi
اردو انجمن کے مجوزہ مصرعہ طرح پر ایک غزل
Ghazal
Dr.Ahmad Ali Barqi Azmi

Kisi ki yeh tan aasaani ke din haiN
Hamari tang daamaani ke din haiN

Talatum khez maujoN meiN ghire haiN
Na thaa maaloom tughyaani ke din haiN

Yeh kisa inqilaab aayaa jahaaN meiN
Ba har soo fitna saamaani ke din haiN

GeraaN har cheez hai ahd e ravaaN mein
Hamare khooN ki arzaani ke din haiN

Huaa karte they jo darbaan apne
Ab un ki aaj sultani ke din haiN

Na jaane kyoN hai daamangeer wahshat
JunooN mein chaak daamaani ke din haiN

NahiN aaya ghazal go’ee ka mausam
Abhi to marsia khwaani ke din haiN

Gham o ranj o alam ki ahd e nau meiN
Jidhar dekho faraawaani ke din haiN

Guzar jayeinge yeh bhi raftah raftah
Abhi Barqi pareeshaani ke din haiN