Page 1 of 1

"humaaree taNg daamaanee ke din haiN"(taraHee Ghazal)

Posted: Sun Jan 03, 2010 3:50 am
by ismail ajaz
(taraHee Ghazal) urdubandhan aur usske tamaam chaahne waaloN aur paRhne waaloN kee nazr,asaatizah ikraam se guzaarish hai keh agar ko'ee Ghalatee nazar se guzre tow us kee iSlaaH famaaeN (shukriyah)

arz kiya hai


kaRe waqt aur pareshaanee ke din haiN
muSeebat meN bhee manmaanee ke din haiN
hai nafsaa nafsee kaa har samt aalam
yeh kaisee abb pashemaanee ke din haiN

bharosaa uTh gayaa hai naaKhudaa se
keh SaaHil par chaRhe paanee ke din haiN
bhaNwar meN ghirtaa jaataa hai safeenah
samundar meN bhee tuGhyaanee ke din haiN

hai chalne lag ga'ee baad e muKhaalif
biphartee mauj e toofaanee ke din haiN
humeN kaise ko'ee aakar bchaa'ey
humaaree marg e saamaanee ke din haiN

hum apne ghar meN be amn o amaaN haiN
"humaaree taNg daamaanee ke din haiN"
muHabbat kaa janaazah uTh gayaa hai
keh nafrat kee faraawaanee ke din haiN

"Khayaal" insaaniyat se poochhtaa hai
humaaree kyaa yeh naadaanee ke din haiN?

Ismail ajaz Khayaal