Page 1 of 1

Mera Junoon e Shauq Kidhar Le ke Aa gayaa

Posted: Fri Jan 08, 2010 10:33 am
by aabarqi
Mera Junoon e Shauq Kidhar Le ke Aa gayaa میرا جنونِ شوق کدھر لے کے آ گیا
Ghazal :Ahmad Ali Barqi Azmi

Mera junoon e shauq kidhar le ke aa gayaa
Manzil pe mujhko azm e safar le ke aa gayaa

Maloom kya tha apna dikhayegi rang woh
Apni balaa e jaaN ko maiN ghar le ke aa gayaa

Teer e nazar ka sah na saka us ke waar jab
Main saath apne dard e jigar le ke aa gayaa

Tooti kamand e shauq meri haaye kis jagah
Main dekhta raha woh samar le ke aa gayaa

Is baar mutma'in tha ki aayega woh zaroor
Itne meiN namah bar yeh khabar le ke aa gayaa

Us ka na intezaar karo woh a aayega
Laana mujhe guhar tha sifar le ke aa gayaa

Gul ho gaya chiraagh e tamanna shab e firaaq
Mian khaali haath deedah e tar le ke aa gayaa

Mujh ko bahut aziz hai Barqi woh is liye
Ilzaam uska apne main sar le ke aa gayaa

Re: Mera Junoon e Shauq Kidhar Le ke Aa gayaa

Posted: Sun Jan 10, 2010 8:23 am
by sbashwar
MoHtaram Dr Ahmad Ali Barqi SaHeb
:salaam2:

Mera junoon e shauq kidhar le ke aa gayaa
Manzil pe mujhko azm e safar le ke aa gayaa

Maloom kya tha apna dikhayegi rang woh
Apni balaa e jaaN ko maiN ghar le ke aa gayaa

Wah bohat khoob. Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: Mera Junoon e Shauq Kidhar Le ke Aa gayaa

Posted: Sun Jan 10, 2010 10:43 am
by aabarqi
Mohsin e man urdubandhan ke murabbi Bashwar
Aap se is bazm ka hai qa'em o dayam waqaar

Khamah farsaa'e pe meri aap ka yeh tabsera
Aap ke zauq e sukhan ddani ka hai aa'eenah daar

Sepasguzaar
Ahmad Ali Barqi Azmi