Page 1 of 1

kisee kee kufr saamaanee ke din haiN: ek Ghazal

Posted: Sun Jan 10, 2010 11:20 pm
by Sarwar A. Raz
yaaraan-e-bazm: aadaab!

ek Ghazal pesh-e-Khidmat hai. shaayad kisee qaabil ho.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

================

kisee kee kufr-saamaanee ke din haiN
hamaaree Khaanah-weeraanee ke din haiN!

i'naayaat-e-sitam meN kab kamee hai?
:hamaaree taNg-daamaanee ke din haiN!:

wohee ham haiN wohee weeraaniyaaN haiN
nah shab aasaaN, nah aasaanee ke din haiN

sunaa hai is t^araf woh aa rahe haiN
Ghazal-goyee, Ghazal-Khwaanee ke din haiN!

tamannaa, aarzoo, ummeed-o-Hasrat
dilaa! yeh kaisee Hairaanee ke din haiN!

nah woh aaYe, nah un kee yaad aayee
a'jab daur-e-pareshaanee ke din haiN!

nah poochho Haal-e-dil ham se, nah poochho
Gham-e-dil kee faraawaanee ke din haiN

machee hai dhoom Urdu Anjuman meN
suKhan-fehmee, suKhan-daanee ke din haiN!

Ghazal kehte raho tum yooN hee "Sarwar"
KhayaaloN kee gul-afshaanee ke din haiN!
---------------

Sarwar A. Raz "Sarwar"