nah gayaa Khayaal-e-zulf-e----
Posted: Sun Feb 07, 2010 6:11 am
yaaraan-e-UrduBandhan: aadaab!
idhar muddat se kuchh pareshaaniyoN meN aanaa nah ho sakaa. ma'Zirat-Khwaah hooN. aaj ek koshish le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN.
"Mir" ke ek miSre' par fikr kee hai. hai to chhoTaa muNh baRee baat lekin seekhne kaa yeh bhee ek t^areeqah hai. so Ghazal dekh leN aur apnee raaYe se aagaah farmaaYeN. shukriyah. Misra' hai:
nah gayaa Khayaal-e-zulf-e-siyah-e-jafaa-shi,a'araaN!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
=======================
Ghazal
wohee Haal-e-dilfigaaraaN, wohee qaal-e-shabguzaaraaN
:nah gayaa Khayaal-e-zulf-siyah-e-jafaa-shi,a'araaN:!
mujhe zeest ne diyaa kyaa? yehee fikr-o-dard-o-HirmaaN
milaa gar koyee Silah to faqat^ ek yaad-e-yaaraaN!
miraa gulshan-e-tamannaa banaa dasht-e-naa-muraadee
nah naseem-e-SubHgaahee, nah umeed-e-baad-o-baaraaN!
mujhe kaasah-e-gadaayee, tujhee daulat-e-Khudaayee
yeh a'jeeb munSifee hai paye-teerah-rozgaaraaN!
hameN kyaa kamee hai saaqee may-e-naab-e-sarKhushee kee
tiraa maikadah salaamat, zahe shauq-e-maigusaaraaN!
yeh a'jeeb dostee hai, tiree dostee ke qurbaaN
nah Khayaal-e-sogawaaraaN, nah Gham-e-jigar-figaaraaN!
maiN hooN be-niyaaz-e-armaaN, mujhe koyee bhee nah chheRe
mujhe raas aa gayaa hai miraa jaZb-e-KhaaksaaraaN
nah junooN meN kuchh rakhaa hai, nah Khirad se kuchh hai HaaSil
yeh fareb-e-Khush-gumaanee, woh naSeeb-e-kam-a'yaaraaN!
koyee kyaa bataaYe kyaa hai yeh mizaaj-e-Husn "Sarwar"
kabhee mausam-e-KhizaaN hai, kabhee mausam-e-bahaaraaN!
==============
Sarwar A. Raz "Sarwar"