Page 1 of 1

:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:

Posted: Sat Mar 12, 2005 4:55 am
by riaz ahmed saraa
doosto!

aadaab

mushaira.org meiN tarHi musha'ra meiN Hissa laite hu'ae ye ghazal kahi thi jo aap eHbaab ki khidmat meiN bhi paish kar rahaa huN ummeed hai k apni qeemati aaraa se zaroor navaazeeN ge

ghazal

jab se dil meiN woh sitam paisha pari zaad aayaa
kaif-o-masti-o-junooN taishah-e-farhaad aayaa

tairi meHfil meiN ga'ya jo bhi thaa shaadaaN farHaaN
aur aaya hai to le kar dil-e-naashaad aayaa

ban ga'aii aik qiyaamat peh qiaamat jaanaaN
:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:

payaar ki aik nazar jis peh bhi daali too ne
kaamyaabi ki woh le kar ka'ii asnaad aayaa

aaj mehfil meiN ghazal ham ne sunaaii jo riaz
ehl-e-meHfil ne kahaa Meer saa ustaad aayaa

riaz

Posted: Sat Mar 12, 2005 6:10 am
by Raji
riaz ahmed saraa wrote:
moHtaram janab-e-Riaz Ahmed Saraa jee:

Aadaab-o-tasleemat,

aap kee ghazal waqai meN bohat achee hai.


jab se dil meiN woh sitam paisha pari zaad aayaa
kaif-o-masti-o-junooN taishah-e-farhaad aayaa
mashaAllah bohat khoob matlah hai

tairi meHfil meiN ga'ya jo bhi thaa shaadaaN farHaaN
aur aaya hai to le kar dil-e-naashaad aayaa
yeh bhi acha hai doosraa misrah ziyada pasand aaya


ban ga'aii aik qiyaamat peh qiaamat jaanaaN
:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:
wah wah bohat hee umdah... meiN iss zameen par likhne meN kamiyaab naa ho sakee :( halaaNke mujhe misrah-e-taraH bohat pasand aaya thaa.

payaar ki aik nazar jis peh bhi daali too ne
kaamyaabi ki woh le kar ka'ii asnaad aayaa
bohat hee laajawab

aaj mehfil meiN ghazal ham ne sunaaii jo riaz
ehl-e-meHfil ne kahaa Meer saa ustaad aayaa
wao maqtah bhi khoob hai :)


meree janib se ek kamiyaab taraHee ghazal par d'herooN daad aur mubarakbaad qubool keeiye.

Wassalam
Zahida Raees :Raji:


Posted: Sun Mar 13, 2005 6:56 am
by Ibn-e-siddique
Riaz bhai:

salaam arz hai

sab se pehle aap ko bahot bahot mubarak ho ke aap ki ye ghazal mehfil-e-mushaira ke muqaabale meiN 2nd position per aayee hai

aap ki ye ghazal bahot pasand aayee, aur meri jaanib se daad ke saath DheiroN mubarak.baad bhi qubool kijiye.

Allah aap ko isi taraH kaamiyaabioN se ham.kanaar kare (aameen)

amjad

Posted: Thu Mar 17, 2005 7:11 am
by riaz ahmed saraa
Raji wrote:
riaz ahmed saraa wrote:
moHtaram janab-e-Riaz Ahmed Saraa jee:

Aadaab-o-tasleemat,

aap kee ghazal waqai meN bohat achee hai.


jab se dil meiN woh sitam paisha pari zaad aayaa
kaif-o-masti-o-junooN taishah-e-farhaad aayaa
mashaAllah bohat khoob matlah hai

tairi meHfil meiN ga'ya jo bhi thaa shaadaaN farHaaN
aur aaya hai to le kar dil-e-naashaad aayaa
yeh bhi acha hai doosraa misrah ziyada pasand aaya


ban ga'aii aik qiyaamat peh qiaamat jaanaaN
:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:
wah wah bohat hee umdah... meiN iss zameen par likhne meN kamiyaab naa ho sakee :( halaaNke mujhe misrah-e-taraH bohat pasand aaya thaa.

payaar ki aik nazar jis peh bhi daali too ne
kaamyaabi ki woh le kar ka'ii asnaad aayaa
bohat hee laajawab

aaj mehfil meiN ghazal ham ne sunaaii jo riaz
ehl-e-meHfil ne kahaa Meer saa ustaad aayaa
wao maqtah bhi khoob hai :)


meree janib se ek kamiyaab taraHee ghazal par d'herooN daad aur mubarakbaad qubool keeiye.

Wassalam
Zahida Raees :Raji:

MoHtarama Zahida Raees SAHiba

Aadaab

aap se pehli baar mukhaatib hone kaa sharf Haasil ho rahaa hai dar asl musoorfiat ki bina par kuchch kam hi aana ho rahaa hai. javaab meiN bhi taakheer ho ga'ee jis ke li'ae ma'zarat khawah huN. Ghazal aap ne pasand farmaayii, ye jaan kar bahut Khushii huii. meraa pur.Khuluus shukriya qubuul keejiye!Ummeed hai k aaiNda bhi apni qeemati aara se navaazti rahiN gi.

niaaz mand
riaz

Posted: Thu Mar 24, 2005 8:50 am
by riaz ahmed saraa
Ibn-e-siddique wrote:Riaz bhai:

salaam arz hai

sab se pehle aap ko bahot bahot mubarak ho ke aap ki ye ghazal mehfil-e-mushaira ke muqaabale meiN 2nd position per aayee hai

aap ki ye ghazal bahot pasand aayee, aur meri jaanib se daad ke saath DheiroN mubarak.baad bhi qubool kijiye.

Allah aap ko isi taraH kaamiyaabioN se ham.kanaar kare (aameen)

amjad

Amjad bhai

aadaab

janaab aap ki mubarak, du'aooN aur daad ke li'ae tehdil se mamnoon huN

aap ki Hosala afzaaii maire lia'e aab-e-Hayaat kaa darja rakhti hai

hamaisha khush rahaiN

riaz

Re: :too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:

Posted: Mon Mar 28, 2005 1:27 pm
by riaz ahmed saraa
sara_j wrote:riaz saahib,

salaam.

ban ga'aii aik qiyaamat peh qiaamat jaanaaN
:too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:


waah! khoob girah lagayi hai, bohat ache.

tairi meHfil meiN ga'ya jo bhi thaa shaadaaN farHaaN
aur aaya hai to le kar dil-e-naashaad aayaa


payaar ki aik nazar jis peh bhi daali too ne
kaamyaabi ki woh le kar ka'ii asnaad aayaa

aaj mehfil meiN ghazal ham ne sunaaii jo riaz
ehl-e-meHfil ne kahaa Meer saa ustaad aayaa

:-) hmmm.......!

ghazal ke ye ashaar bohat pasand aaye, daad qubool keejiye.

sara
Sara SaHiba

aadaab

meiN aap kaa shukr guzaar huN k aap ne mairy kaavish ko paRha aur ise saraaha

umeed hai Hosala afzaaii farmaati rahaiN gi

riaz

Bahut khoob

Posted: Mon Mar 28, 2005 3:25 pm
by Abdullah Nazir

MuHtarami
Riaz Ahmed Saraa Saahib


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal pasand aayi. Saare ashAar dilkash heiN. Is baar tafseeli tabsirah karne se qaasir hooN lekin ummeed kartaa hooN ke aayindah apni tafseeli aaraa pesh karne kii koushish karungaa.

Meri dili daad aur mubaarakbaad Haazir hei, ummeed ke qubool farmayenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Re: Bahut khoob

Posted: Sat Apr 02, 2005 5:14 am
by riaz ahmed saraa
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Riaz Ahmed Saraa Saahib


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal pasand aayi. Saare ashAar dilkash heiN. Is baar tafseeli tabsirah karne se qaasir hooN lekin ummeed kartaa hooN ke aayindah apni tafseeli aaraa pesh karne kii koushish karungaa.

Meri dili daad aur mubaarakbaad Haazir hei, ummeed ke qubool farmayenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

MoHtaram Janaab Nazir SaHib

aap ki ra'ae paRh kar bohat khushi hu'ii

aap ne mairi teHreer ko CHoo kar ise mo'tabar banaa dia aap ke chaNd kalmaat ne hi bohat khusii di. ummeed hai k aaiNda tafseeli rahnumaaii farmaayaa karaiN ge

niaz maNd

riaz