Page 1 of 4

Lafz par Ashaar#5--"BARISH "

Posted: Sat Mar 12, 2005 8:36 am
by syed bilal armaan
IS MARTABA HAZIR HAI UNWAN "BARISH ". IS UNWAN PAR BHI APP APNE PASANDIDA ASHAR BHEJEIN. (-BILAL).



is dafa sawan may bas teri hi yaad ke badal rahe
is dafa main bhi khoob roya in barish'oun ke sath.

"baarish"

Posted: Sat Mar 12, 2005 3:10 pm
by Abdullah Nazir

"baarish"


baarish meiN taazagi sii jou aayiii gulaab per

hansne lagaa maiN Dhalte houe aaftaab per




Nazir.


Posted: Sun Mar 13, 2005 6:58 am
by Ibn-e-siddique
baarish hui to ghar ke dareeche se lage ham
chup chaap sogvaar tumheN sochte rahe

Posted: Sun Mar 13, 2005 12:28 pm
by syed bilal armaan

ab ke barish may zardi na gayi chahere ki
aise mossam may tou jangle hara hota hai.

"baarish"

Posted: Mon Mar 14, 2005 12:50 pm
by Abdullah Nazir



baarish meiN bhii jo aatish-e-dil bujh nahiN sakii

mujhko gilah hei tum se Azaab-e-firaaq kaa



Nazir


Posted: Tue Mar 15, 2005 2:12 pm
by syed bilal armaan

sataya aaj munasib jagha ye barish ney
issi bahaney taher jaa'oun iss ka ghar hai yahan

"baarish"

Posted: Tue Mar 15, 2005 2:58 pm
by Abdullah Nazir



Andheri raat hei aur haulnaak baarish hei

nah chaandni hei, nah hii muzda-e-saHar hei yahaN



Nazir.


Posted: Sun Mar 20, 2005 2:40 pm
by syed bilal armaan
barish meri ankhoun se hoti rahi har lamha
sawan ke mahine main jab app nahi aye...

"baarish"

Posted: Mon Mar 21, 2005 2:47 am
by Abdullah Nazir



Chaagayaa abr-e-karam, baarish kaa imkaN thaa bahut

naagahaaN kyaa hougayaa, us ne nighaaheN pahirleeN



Nazir.


Posted: Tue Mar 22, 2005 4:37 am
by Ibn-e-siddique
Yeh ehtijaaj baja hai ke tez thi baarish
Yeh man'na hai ke kacha tha apne sheher ka rang

Posted: Wed Mar 23, 2005 10:56 am
by syed bilal armaan
Bijli na kar saki kabhi barish ka faisla
barse ga kitni deyr ye badal batayega..

Posted: Thu Mar 24, 2005 7:17 am
by Hashmat Usmani
baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

Posted: Thu Mar 24, 2005 2:49 pm
by Hashmat Usmani
baadal ko kia Khabar ki baarish kii chaah meN
kitne buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye


Parveen Shaakir [my FIRST-EVER quote of her ash'aar...BRAVO!]

Posted: Fri Mar 25, 2005 2:45 am
by Hashmat Usmani
Gham kii baarish ne bhii tere naqsh ko dhoyaa nahiiN
tu ne mujh ko kho diyaa, maiN ne tujhe khoyaa nahiiN


Muniir Niyaazii

"baarish"

Posted: Fri Mar 25, 2005 3:12 am
by Abdullah Nazir



baarish meiN bheegne kaa masa aagayaa bahut

Taubah wo teraa mujh se lipaT jaanaa baar baar



Nazir.