Page 1 of 1
Nazr Muzaffar AHmad Muzaffar
Posted: Fri Apr 16, 2010 11:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
--------------------------------------------------------------------------------
نذرِ جناب مظفر احمد مظفر
احمد علی برقی اعظمی
شاعر وناقد، ادیب و دیدہ ور
آپ فورم پر نہیں آتے نظر
ایک مدت سے نہیں کوئی خبر
خیریت تو ھے بتایئں ہیں کدھر
آپ کا طرزِ بیاں ھے دلپذیر
جو کہ نظم و نثر میں ھے جلوہ گر
میں کھاں دوں آپ کو دستک بتائیں
کچھ تو ھو معلوم وہ ھے کون در
ھے ارادتمند برقی آپ کا
کرتے ہیں مِس آپ کو اھلِ نطر
نیازکیش
احمد علی برقی اعظمی
Re: Nazr Muzaffar AHmad Muzaffar
Posted: Fri Apr 16, 2010 11:52 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
--------------------------------------------------------------------------------
Nazr Dr, Barqi SaaHib
AHwaal-e-waqa'ee!
jawaba"
fikr-e-rozee ne rakhaa kuch yooN mujhe maSroof-e-kaar!
ya'nee sar par thaa kafaalat ka junoon-e-fitnah kaar!
waqt ka putlaa subak raftaar chaltaa hee rahaa!
gardish-e-daoraaN se miltee hee nah thee mujh ko faraar!
Ghunchah-e-dil dostooN kee yaad meN murjha geya
hijr meN baad-e-bahaaree bhee lagee naakhushguwaar!
dil kee ashuftah kheyaalee thee magar apnee jagah
naawak-e-bedaad gar karta raha seenah figaar!
daftar-e-farhanG se rishtah magar qaai'm raha
she'er goee dasht ko kartee rahee rashk-e-bahaar!
dil ko milte hee nah the asbaab-e-u'nwaan-e-t^arab
raah-e-hastee thee raheen-e-fitnah-e-gard-o-Ghubaar!
HaaSl-e-u'mr-e-rawaaN ek dard-e-dil baaqee rahaa
dast-o-baazu shal huwe hone lagee jaaN sharmsaar!
GulsitaaN par bhee gumaan-e-waadee-e-purkhaar thaa
khila'at-e-faSl-e-bahaaree ho rahee thee taar taar!
ajnabee lagne lagaa thaa Halqah-e-taar-e-nafas
baadah-e-Gham se chaRhaa :BarQi: mujhe aesaa khumaar!
maajraa-e-tangee-e-damaaN raha pesh-e-naz^ar
barG-e-Gul par khaar jab ugne lage the honahaar!
muZt^arib amwaaj-e-hastee har ghaRee rehne lageeN
Hasrat-e-naakaam ka Dubaa safeenah baar baar!
u'qdah-e-Gesu-e-pechaaN se nah thee mujh ko mafar
Qaed rakhtee thee mujhe zanjeer-e-zulf-e-mushkbaar!
farsh-e-SeHraa par jo dekhaa naqsh-e-paa ma'bood kaa
thaa junoon-e-jabha saaee us ghaRee sar par sawaar!
behr-e-sajdah jhuk gaee thee khaak par meree jabeeN
daaGh-e-peshaanee ko muddat ba'd aya thaa qaraar!
sozish-e-zakhm-e-jigar miTne lagee thee khud bakhud
aageya meree naz^ar ke saamne woh pardah daar!
keejiye chaak-e-garebaN par rafugar ek naz^ar
rakh diya yooN daaman-e-dil us ke aage taar taar!
sun ke yeh faryaad woh kuch mehrbaaN hone lagaa
mujh ko taRpaane lagee thee Hasrat-e-faSl-e-bahaar!
jalwah gaah-e-aarzu men yooN kiya us ne khit^aab
tujh ko deewanah bana de gee yeh fikr-e-ruzgaar!
fikr-e-dunya meN jo nikla woh teh-e-daam aageya
door rakhkhe nafsaa nafsee se hameeN parwardigaar!
keejiye mushshaat^gee-e-zulf-e-pechaaN har gharee
taobah taobah fikr-e-dunya be sabab hai darkinaar!
QaSr-e-ulfat ke dar-o-deewaar raoshan keejiye
nasl-e-aai'ndah ise samjhe hamaree yaadgaar!
bulbul-e-baaGh-e-tamannaa chehchahaa uTTHaa miraa
ehl-e-Gulshan bhee huwe sunkar yeh khut^bah hosheyaar!
muZdah ab bazm-e-sukhan meN aae ga akcar naz^ar
a'rSah-e-e'hd-e-guzashtah ko bhulaa kar khaaksaar!
alGharaZ kehna para hai naokaree ko khaer baad
aesee rozee se to behtar hai rahooN be roozgaar!
Muzaffar Ahmad Muzaffar
[/color]
Re: Nazr Muzaffar AHmad Muzaffar
Posted: Sat Apr 17, 2010 7:02 am
by aabarqi
Hai Mera Nazr e Muzaffar yeh Jawaab
Ahmad Ali Barqi Azm