Page 1 of 1

GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat haiN.

Posted: Sat Apr 17, 2010 2:21 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

Basilsilah mahanah mushae'irah apnee Haqeer Ghazal bagharaZ-e-mutalea'h pesh-e-khidmat hai. qawee ummeed hai ba'd az mulaHizaat eHbaab apnee qeematee aara' se sarfaraaz farmaeeN ge. mulaHiZah keejiye.

Ghazal

Muzaffar AHmad Muzaffar

Aah be taaceer naalah naa rasaa mere liye!
tanG hai, kyooN daman-e-mushkil kushaa mere liye?

maiN to samjhaa tha keh bach kar saaHilooN par aageya!
thee magar ek muntazir maoj-e-bala mere liye!

armaGhaan-e-e'shq hai, daar-o-rasan ka ehtemaam!
jaor tera hai karam kee intehaa mere liye!

dard kee lazzat kaa khugar hai, dil-e-bismil mira!
Chaarah Gar mat keejiye fikr-e-dawa mere liye!

Aaftaab-e-Hashr kee shiddat lagee baad-e-Naseem!
uTh geya jab aap kaa dast-e-dua'aa mere liye!

teGh Zan dene laga hai, Z^abt-e-Gham ka HaoSlah!
"ban gaee hai maot kitnee khush adaa mere liye"

Yaad hai, itna Muzaffar kashtee-e-u'mr-e-rawaaN!
le geya t^ufaaN kee jaanib naa khuda mere liye!
[/size][/color]

Re: GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat h

Posted: Sun Apr 18, 2010 4:39 pm
by aabarqi
Kitni fikr angez hai Barqi Muzaffar ki ghazal
Jinka andaaz e bayaaN hai jaaN faza mere liye

Mukhlis
Ahmad Ali Barqi Azmi

Re: GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat h

Posted: Tue Apr 20, 2010 10:16 am
by sbashwar
MoHtaram Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam2:

dard kee lazzat kaa khugar hai, dil-e-bismil mira!
Chaarah Gar mat keejiye fikr-e-dawa mere liye!

Ek pur asr ghazal kehne par meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat h

Posted: Tue Apr 20, 2010 3:14 pm
by Khurshidul Hasan Naiyer
muHtaram Muzaffar Sb

salaam a'laikum

aap ko aik muddat ba'd bazm meiN jalwah afroaz dekh kar intahaai,y Khushee hui,y. umeed hai mizaaj baKhair hoNge. aap kee yeh tazaa ghazal kiyaa kahne har she'r da'wat-e-suKhan or daad ke lie,Y da'wat detaa huwaa. meree daad aap ke is shaandaar Ghazal kee nazr.

KhairaNdesh

Khurshidul Hasan Naiyer

Re: GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat h

Posted: Fri May 28, 2010 12:01 pm
by muhammad_19k
Salam árz hai Muzaffar bhai,


leejiaye bhagaRa Haazir hai. kuch likhne ka progrm to na thaa laikin Hasan SaHeb ki ghazal par likhna paRa so pakRa gyaa. kahiye kaise heN aap?

ab aap ki ghazal ki kyaa tareef karooN, bas khaaish hi hai ke kabhi aap se miSra keh sakoooN :). bohat daad qubook kijiaye. aor haaN baaz aane wala nahi hooN meN. aaditan kuch na kuch to likhooN ga :)

Aah be taaceer naalah naa rasaa mere liye!
tanG hai, kyooN daman-e-mushkil kushaa mere liye?

wah, sheriat bhar poor hai. laikin mushkil kushaa aek maslal meN Hazrat Ali ki taraf bhi ishaara kartaa hai. us taraH ye sher kuch aor hi raNg lay jaataa hai.

maiN to samjhaa tha keh bach kar saaHilooN par aageya!
thee magar ek muntazir maoj-e-bala mere liye!


pehlay sher paRha to bay ikhtiaar wah niklaa. phir meN muskara paRaa. kayaa aek saaHal par aanaa kaafi nahi thaa?


armaGhaan-e-e'shq hai, daar-o-rasan ka ehtemaam!
jaor tera hai karam kee intehaa mere liye!

hmm

dard kee lazzat kaa khugar hai, dil-e-bismil mira!
Chaarah Gar mat keejiye fikr-e-dawa mere liye!

wah. achhca hai.

Aaftaab-e-Hashr kee shiddat lagee baad-e-Naseem!
uTh geya jab aap kaa dast-e-dua'aa mere liye!

wah wah wah. kyaa khyaal hai.

do bateN qaabil e ghor heN.

1. naseem shaam ki hawaa ko kehte heN naaN? to kyaa aaftab ke saath naseem ka mawazna theek hai
2. jab naaseem kehte hi shaam ki hawaa ko heN to phir saath meN baad ki kyaa zaroorat? gulab ka phool wali baat ho jaati hai. meN jaanta hooN ke kaafi jaghoN par ist'maal kiyaa jaat laikin mujhe to ghalat hi lagtaa hai. aap kyaa kehte heN.

teGh Zan dene laga hai, Z^abt-e-Gham ka HaoSlah!
"ban gaee hai maot kitnee khush adaa mere liye"

gira bas theek hi lagi

Yaad hai, itna Muzaffar kashtee-e-u'mr-e-rawaaN!
le geya t^ufaaN kee jaanib naa khuda mere liye!

ye sher kuch samajh nahi aayaa.


muzaffar bhai aap jaante heN aap se bohat kuch seekhta hooN. so jahaaaN jahaaN zaroorat meHsoos ho rehnumai farmaaiye ga.


khosha cheeN,

Khawar.

Re: GuZarish#52 ke miSra' par chand ashaar pesh-e-khidmat h

Posted: Fri Aug 06, 2010 12:36 pm
by rohaan
that very good mashalla bohot achi naat han...
Jashn-e-Aamad-e-Rasool