Page 1 of 1

kabhi kabhi to main bhi hosh mein hota hoon

Posted: Sat May 08, 2010 11:50 am
by NASIR BURNEY
azeezan-e-bazm asslamualaikum

aik taazah ghazal pesh kar raha hoon agar kisi layeq ho to duaaon se nawaaz deejiyega

ghazal

sochta hoon to khoon ke aansoo rota hoon
kya pardes mein paata hoon kya khota hoon

deir gaye tak chunta rahta a hoon moti
jab maan so jati hai tab main sota hoon

jashn manaaya karta hoon akcar youn bhi
aoron ko khush dekh ke main khush hota hoon

yaaro mana aab -o- hawaa hamwaar nahin
haath batao beej pyaar ke bota hoon

mere aage hosh ki baaten karte ho
kabhi kabhi to main bhi hosh mein hota hoon

jane jane se poochta phirta hoon taabeer
khwab mein akcar chaand ke dhabbe dhota hoon

daar -o- rasan par nachte gaate jana hai
ro lene do aaj agar main rota hoon

aakhir kuch to yeh munh ujla ho jaaye
raaton ko uth uth kar akcar rota hoon

khoob samajhta hoon be his logon mein hoon
phir kyon itna aag baboola hota hoon

laal gulaabi neele peele hare saphed
nasir sare rang ghazal mein samota hoon

mukhlis
nasir burney

Re: kabhi kabhi to main bhi hosh mein hota hoon

Posted: Sun May 09, 2010 2:20 am
by sbashwar
Mohtaram Nasir Burney Saheb
:salaam2:

deir gaye tak chunta rahta a hoon moti
jab maan so jati hai tab main sota hoon


Glass aadhe pani se bhara hoto koi kahega ke; adha glass bhara hua hai aur koi kahega ke adha khali hai. Apka ye sher sunheri hurfaun mein likhne ke qabil hai. Hum ne aise naik saleh aulad bhi dekhe hain jo maaN ke sone ke baad sote hain. Kash har aulad "Raza al valideen Raza Allah" ko samajh sakein.

Aapke mazeed kalam ka muntazir
Mukhlis
Salem Bashwar

Re: kabhi kabhi to main bhi hosh mein hota hoon

Posted: Sun May 09, 2010 4:11 pm
by NASIR BURNEY
mohtaram salem bashwaar sb.wa alaikum asslam warahmatullahi wa barakatuhu

bhut 2 shukriya zarra nawaazi ka

mukhlis
nasir burney