Page 1 of 1
MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Tue May 18, 2010 6:15 pm
by jawaid badauni
Aaj “Jeddah” shahr se kaisee Khabar aayee nayee
MuZmaHil haiN kuch tou usko sunke rote haiN kayee
Ik Shanshaah-e suKhan ko saath apne le gayee
Sochta hooN kyuun jahaN meN aayee yeh Solah Mayee
Ab na woh bedaar hoNge aaj aise so gaye
Nazir-e marHoom is duniya se ruKhsat ho gaye
YuuN tou waise bhi kayee saloN se thay gosha nasheeN
Dil ko yeh ummid thee aa jayeNge wapas yaheeN
Ab hamari bazm meN unko kabhie aana nahiN
Kya KarooN is baat ka dil ko nahiN aata yaqeeN
Ab ghazal se unka nata hai na rishta Nazm se
ToR ker bandhan gaye har anjuman har bazm se
Yaad meN unki Ghazal hai muZmaHil NazmeN udaas
Mehv-e girya ilmo.fun haiN aur sukhan hai mehv-e yaas
Naaz karne ko bacha hi kya hai ab Urdu ke paas
Mayyat-e “Nazir” pe rone aayee ho ker bud Hawas
YuuN tou Urdu ki harik mehfil hi gham se choor hai
“Urdubandhan” sub se baRhker bekal.o.ranjoor hai
Shub ke maroN ko saHar ka Khuwaab de ker chal base
Shairee ko shoKhiy-e kumyaab de ker chal base
Ilm.o.fun ko daulat-e zarnaab de ker chal base
Aur hum ko “Gauhar-e Shab Taab”* de ker chal base
Thak gaye thay aaj is duniya se rahlat kar gaye
KyuuN nah royeN dost “Abdulah Nazir” mar gaye
Kya zamana tha woh jab rahte thay sub ke darmiyaN
Kooii bhi mehfil ho bus unke hi dum se thee jawaN
Har Ta’raf maujood thAy woh kuch yahaN tou kuch wahaN
YuuN samajhiye ek gul cheeN har chaman ka baagh baaN
DostoN ka aaj aisa Haal unke baa’d hai
Lub pe unka naam hai aur di meN unki yaad hai
AsamaaN waale! ‘Madeene” ki zameeN ka waast'ah
Jis pe sub ko tha bharosa us ameeN ka waast'ah
Ai mire Maa’bood Shaah-e MursaleeN ka waast'ah
Tujh ko ai Rub tere meHboob-e HaseeN ka waast'ah
Kar dey “Abdulaah Nazir” ki KhaTayeN darguzar
Ai Khuda un be watan ko baKhsh dey jannat meN ghar (aamin)
--------------------------------------------------------------------------
Jawaid Badauni
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Wed May 19, 2010 8:34 am
by sbashwar
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Apke marCia ne aankh se ansoo na rok sake jo achanak khabar par ruke huay thay.
Allah marhoom ki maghfirat farmaye.
Main ye image jo maqool size mein thi
http://www.abdullahnazir.com par pesh kardiya houn.
Sauguaar
Salem Bashwar
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Wed May 19, 2010 10:06 am
by azeezbelgaumi
محترم جاوید اقبال بدایونی صاحب نے اپنی تعزیتی نظم میں اپنا دل نکال کر رکھ دیا ہے۔ ہمارے جذبات کو بھی زبان عطا کر دی ہے۔جزاک اللہ
عزیز بلگامی
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Wed May 19, 2010 9:22 pm
by jawaid badauni
sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Apke marCia ne aankh se ansoo na rok sake jo achanak khabar par ruke huay thay.
Allah marhoom ki maghfirat farmaye.
Main ye image jo maqool size mein thi
http://www.abdullahnazir.com par pesh kardiya houn.
Sauguaar
Salem Bashwar
MarSiya paRh ker yehee kaifiyyat hoti hai Bashwar Sb.
Nazm ko unki site per lagane ke liye shukriya.
MuKhliS
Jawaid
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Wed May 19, 2010 9:24 pm
by jawaid badauni
azeezbelgaumi wrote:محترم جاوید اقبال بدایونی صاحب نے اپنی تعزیتی نظم میں اپنا دل نکال کر رکھ دیا ہے۔ ہمارے جذبات کو بھی زبان عطا کر دی ہے۔جزاک اللہ
عزیز بلگامی
MoHtarmee Azeez Belgaumi Sb,
aadaab
Bahut bahut shukriya.
Khair t'alab,
Jawaid
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Fri May 21, 2010 1:00 pm
by aabarqi
رحلتِ ناظر پہ ہے یہ مرثیہ اک دلفگار
شدتِ جذبات کا جاوید کے آئینہ دار
اُن کے جانے سے اچانک آگئی فصلِ خزاں
گلشنِ اردو میں اُن کی ذات تھی مثلِ بہار
ہیں سبھی اہلِ نظر یوں تو بظاہر غمزدہ
اُن کے غم میں مضمحل ہیں آج سالم باشوار
ہیں سبھی ویب سائٹوں کے ناظمِ اعلیٰ ملول
اردو بندھن غمزدہ اردو جھاں ہے سوگوار
سرور عالم راز سرور اور ہیں مہتاب قدر
اپنی دیرینہ رفاقت کی وجہ سے بیقرار
حال خورشیدالحسن نیر کا ہے ناگفتہ بہ
اُن کو ہے اِس سانحے سے ایک ذہنی انتشار
صدمہ جانکاہ سے مت پوچھئے حالِ زبوں
سوگ میں سارا جبیں ہیں اُن کے برقی اشکبار
Re: MarSiya Abdullah Nazir marHoom..............
Posted: Fri May 21, 2010 1:40 pm
by jawaid badauni
aabarqi wrote:رحلتِ ناظر پہ ہے یہ مرثیہ اک دلفگار
شدتِ جذبات کا جاوید کے آئینہ دار
اُن کے جانے سے اچانک آگئی فصلِ خزاں
گلشنِ اردو میں اُن کی ذات تھی مثلِ بہار
ہیں سبھی اہلِ نظر یوں تو بظاہر غمزدہ
اُن کے غم میں مضمحل ہیں آج سالم باشوار
ہیں سبھی ویب سائٹوں کے ناظمِ اعلیٰ ملول
اردو بندھن غمزدہ اردو جھاں ہے سوگوار
سرور عالم راز سرور اور ہیں مہتاب قدر
اپنی دیرینہ رفاقت کی وجہ سے بیقرار
حال خورشیدالحسن نیر کا ہے ناگفتہ بہ
اُن کو ہے اِس سانحے سے ایک ذہنی انتشار
صدمہ جانکاہ سے مت پوچھئے حالِ زبوں
سوگ میں سارا جبیں ہیں اُن کے برقی اشکبار
Sher Khud yeh kah rahe haiN aap bhi haiN dil figaar
Hazrat-e Nazir ke Barqi aap bhi haiN sogwaar
MeherbaaN sub per thay Nazir sub se tha Nazir ko pyaar
Such tou yeh hai dost unke sub haiN unke qarzdaar
Unke gham meN ro rahe haiN aaj sub ahl-e suKhan
Muzamhil haiN sub ke sub aur sub ke dil haiN beqaraar
SoKhiyoN ki ab kisee ummid sub mayus haiN
aisa lagta hai chaman meN ab na aayege bahar
Deedawar ki maut per Nargis ko sadma kyuuN na ho
Phir hazaroN saal rona hai usey zaar.o.qatar
Sher ai Jawaid likhkhe haiN tou Barqi ko sunaao
Daad woh manzoom deNge aur woh bhee beshumaar
----------------------------------------------------------------