Page 1 of 1

"NAAZIR" thaa ek naam yahaaN woh chalaa gayaa

Posted: Sat May 22, 2010 7:26 am
by ismail ajaz
marHoom moHtaram janaab Abdullah Nazir SaaHeb Ghafar Allahu kee yaad meN nazraanah e aqeedat


baabaa e shaa'iree thaa yahaaN woh chalaa gayaa
thaa jo suKhanwaree kaa zamaaN woh chalaa gayaa
woh shaa'iree kee duniyaa meN ikk darsgaah thaa
she'r o adab thaa jismeN rawaaN woh chalaa gayaa

lowgo ! charaaGh e ilm o adab aaj bujh gayaa
raushan thaa jis se urdujahaaN woh chalaa gayaa
hardil azeez mehrbaan shaKhS thaa "Khayaal"
"NAAZIR" thaa ek naam yahaaN woh chalaa gayaa

Taalib e ilm

Ismail Ajaz Khayaa
l

Re: "NAAZIR" thaa ek naam yahaaN woh chalaa gayaa

Posted: Sun May 23, 2010 4:43 pm
by sbashwar
Mohtaram Ismail Ajaz Khayaal Saheb
:salaam2:

Ahle sukhan aur dost ehbab sabhi magmoom hain.
Allah marhoom ke darajaat bulat kare, ameen.

Re: "NAAZIR" thaa ek naam yahaaN woh chalaa gayaa

Posted: Sat May 29, 2010 5:29 pm
by tahira Masood
Salaam

Bohat ziyaadh nahin jaanti thi unko. bas isee n=meHfil maiN kabhi kbahaar azraa-e-shafqat woh hmaari choTi moTee nigaarshaat per hamari bohat subak andaaz maiN HauSlah afza'ee fermaadaite thae. Aur bohat kam hi kabhi koee gahlaTee nikaaltae thay. un ka nadaaz se hi unkaa dheemapan aur narm ruee kaa andaaza hotaa thaa
Allah Ta'alaa unko ghareeq-reHmat kare.aameen
sab laug jaise unko yuN derd aur moHabbat maiN Dooba manzoom khiraaje- aqeedat pesh ker rehay haiN tau andaaz hotaa hai keh unhoN en sab k dil main apnaa kayaa maqaam banaa liaa thaa.

aap kaa kalaam bhi inhee aHsaasaat ki Akkasi kertaa hai

khush rehaiN.

wassalam