Page 1 of 1

Qitaa't-e TaareeKh, Abdullah Nazir,marHoom

Posted: Sat May 22, 2010 9:54 pm
by jawaid badauni


Ya Rub tire meHboob ka woh shaKhS moHib tha

Dafana ke jise aaye haiN aHbaab zameeN meN

Ro ro ke dua maaNgee hai arbaab-e suKhan ne

Naazir ka makaaN aaj ho firdaus e bareeN meiN

1151+21+111+4+11+350+262+100= 2010



Us se hi mujhe rahmo.o.karam ki haiN umeedeN

Khaliq bhi mira markaz-e eemaan bhi meira

MaiN uski amaaN meN hooN mujhe fikr ho kyuuN ker

Nazir hai mira aur nigehbaan bhi meira

1151+15+241+207+128+17+251 = 2010



Jawaid Badauni

Re: Qitaa't-e TaareeKh, Abdullah Nazir,marHoom

Posted: Sun May 23, 2010 3:45 pm
by sbashwar
MoHtaram Jawaid Badauni SaHeb
:salaam:

Qitaat bohat pasand aaye. Isisi ko Nazir Saheb marHoom ki site par bhi pesh kardonga. insha-allah.
Qitaa't-e- Taareekh paRhne ka pehla ittefaq hua. Maine Azeez Belgaumi bhai se khat ke zariye guzarish ki ispar roushni dalein.Taareekh ki tafseel qariyeen mustafeed ho sakeN share kar raha houn: