Page 1 of 1

urdubandhan meN Khayaal 52Ven mushaa'ire meN

Posted: Wed May 26, 2010 5:49 pm
by ismail ajaz
urdubandhan ke 52veN mushaa'ire meN Khayaal kaa aadaab o tasleemaat

arz Khidmat hai

chaand sooraj aur sitaaroN kee ziyaa mere liye
iss zameen o aasmaaN kee har adaa mere liye

aadmee mujh ko banaa kar Khuld se ruKhSat kiya
phir lagaa'ee Khuld kee dilkash Sadaa mere liye

mere chaaroN aur duniyaa ko sajaa kar rakh diyaa
nafs aur shayetaan ko yakjaa kiyaa mere liye

KhwaahishoN kaa Khatm nah phir hone waalaa silsilah
de ke mujh ko yuN kahaa keh hai Khataa mere liye

aazmaa'ish imtihaaN se meraa jeevan joR kar
lamHa lmHa hai Ataa uss par jazaa mere liye

mere maalik hooN bahot kamzor maiN bandah tiraa
uns kaa nisyaan se rishtaa juRaa mere liye

isstaraH kee zindagee kar de mujhe yaa rabb ataa
jis meN shaamil ho tiree har damm razaa mere liye

duniyaa se jaa'uN tow maalik bass yehee majdah sunooN
"ban ga'ee hai maut kitnee Khush adaa mere liye"

aadmee putlaa Khataa kaa hai tow hooN maiN bhee "Khayaal"
raastah taubah kaa dekho hai khulaa mere liye


taalib e duaa

Ismail Ajaz Khayaal

--------------------------------------------------------------------------------

Re: urdubandhan meN Khayaal 52Ven mushaa'ire meN

Posted: Thu May 27, 2010 11:04 am
by sbashwar
Mohtaram Ismail Ajaz Khayal Saheb
Asslam Alaikom

Ghazal bohat achchi kahi aapne. Sheir # 3 khaas taur se zyada pasand ayaa.
meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: urdubandhan meN Khayaal 52Ven mushaa'ire meN

Posted: Thu Jun 17, 2010 10:40 am
by ismail ajaz
sbashwar wrote:Mohtaram Ismail Ajaz Khayal Saheb
Asslam Alaikom

Ghazal bohat achchi kahi aapne. Sheir # 3 khaas taur se zyada pasand ayaa.
meri daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
moHtaram janaab Salem Bashwar SaaHeb

salaam pesh e Khidmat hai

iss zarrah nawaazee kaa beHad shukriyah

taalib e duaa o nazar

Ismail ajaz khayaal